...

60 views

NAFRAT....
Jo kaaenaat ko kayamat tak pauhchade,
Jo ehsaas insaaniyat ko mita de,
Jo hadho to tor kar beyhadh ho jae,
vo hai, NAFRAT ....

nafrat ek shudh bhavna hai jismme duba insaan apni nafrat to mukammal karne ke liye koi hadh nahi dekh ta .
ek asi hi nafrat mere ander bhi thi Jo kissi ki Zindagi mittane ki neeyat rakhti thi.

ye Kahani hai mere, Rohan shah ke badle ki hai, ye Kahani hai India ke subse bade bussiness man , Mr. Mrityunjai Singhaniya ki barbadi ki.

aaj se 15 saal phale mrityunjai me ek gunah Kiya tha aur ek galti.
Galti ye thi ki usne mujhe jaan se nahi Mara aur atteet me kiye hai gunah ki kimat use ab chukani thi.

jissi shuruyat usi din se hone wali thi his din ye sub shuru hua tha, 25 June.
har din ki tarah mrityunjai me apne din ki shuruvaat mandir se ki thi par vo anjaan tha ki - kiye gai karmo ke Milne wale fal se to khud bhagwan bhi nahi bach sakte vo to phir bhi insaan hai. ghar me Khushi ka mahall tha aaj mrityunjai ki company ko 25saal pure ho chuke the. shaam ki party me har dost, har risthey daar , har apna aane Wala tha. ab dekhna ye tha aaj mere phele war ki kimaat mrityunjai ko chukani padegi ya uske kissi apne ko.

Sham ho chuki thi sub khus the par Meri nazare this mere shikaar , mrityunjai par. use khabar bhi nahi thi ki ek pal me usse aur uske apno ke sath Kya hone jaa raha hai.
mera ek ishara aur har taraf aag hi aag thi. log chik rahe the bhag rahe the par mrityunjai me chahare ka dar mujhe ek anjaana sa sukoon de raha tha . mrityunjai ki jaan uske parivaar me basti this aur uska dar bhi uske khud ke liye nahi the uske parivaar ke liye tha. uske bade bete, Rishab ne uska hath pakra aur baahar le jaane laga tabhi mrityunjai ne usse kaha- Meri chinta mat karo mujhe kuch nahi hoga. tum kriti, Rihan ,maa,ridhima aur Baki sub ko baahar nikalo jaldi aur tum bhi khud ka dhyaan rakhna.
tabhi acaanak mrityunjai (mj) ke upper ke aag ke lapto se jalta hua lohe ka khamba girne Wala tha aur mujhe me chahate hue bhi use bachana pada. kyu?
"kyuki Mera maanna hai ki,
maut to dukho se rihaai hai aur Sachi nafrat dard deti hai rihaai nahi."

Sub Ghar jaa chuke the. Mj apni patni, kirti ko is baat ka dilaasa de raha tha ki ye koi upshagun nahi ek itefaak hai tabhi tuska chota Bhai Rudrasha Shinghania, me usse bola, Bhaiya watchman me bataya ki aap ke naam ke ek letter aaya hai. Mj be letter ko padha usme likha tha -
" aaj Jo kuch bhi hus use ek itefaak mat samajna. aaj to kismat ne tumhara sath dia, tumhare Ghar se kissi ki arthi nahi utti par kismat har baar sath nahi deti."
Mj ne use ek business letter Bata kar dustbin me phek dia . sub sone chale gae.par koi tha jisse aaj neeind nahi aa rahi thi , Rishab ne raat ke 2.00 baje use letter ko padne ka faishla kia, vo us dustbin ke pass gaya usne waha par khoja par use kuch nahi Mila tabhi ek aawaz aai - isse khoj rahe ho?
Rishab ne peeche mud kar dekha to mj khada ta wahi letter le kar. mj ne use vo padne ke liye kaha aur bola -
"koi hai Jo harame ghar ko barbaad karna chahta hai . pata nahi kon? aur kyu?mere baad is ghar ki hifaazat karna. karoge na. Rishab?"
aap lo kuch nahi hoga dad.mere rahate to bilkul bhi nahi .
Mj muskura Kar bola- jaao jaa Kar Soo jaao.

bol to dia tha usne par neeind to Mj ki bhi udi thi.chah Kar bhi vo paichan nahi paa raha tha ki, Kon Kar sakta hai asa.
Mj duniya ki nazaro me ek ayacha beta, pati, baap , ayacha Bhai sub tha par hakikat to ye thi ki vo ye sub to tha par ek ayacha insaan nahi tha.jiss uchai par aaj vo tha uski kimaat kai begunaah logo ne chukai thi, unhi me se ek naam Mera bhi tha.
me mj ko 3 dishao se barbaad karna chahata tha-
1. izzat
2. Paisa
3. parivaar

is kahani ki shuruwaat ho chuki thi aur. mere agle war ka shikaar Mj ka Bhai hone wala tha.uske laalach hi uski maut ki wajaha bane wala thi...
agle din rutraksha ko ek phone call aaya. usne phone pick kiya-
Kon ? usne pucha.

"mai Kon hu? kyu hu? ye maaine nahi rakta .mene phone kyu kia hai ye maaine raktha hai. faida tumhara hai aur Mera bhi, tumhari paiso ki bhook ko mai ayache se jaanta hu. Milna ho to ek address send karkara hu Kal shaam 5.00 aa Jana par yaad rahe mj ko is baare me kuch pata nahi chalna chaiye" .itna bol Kar Maine phone cut Kar Diya.
Rudrasha ke man me Kai sare sawal the par use aana hi tha aakhir Paisa chiz hi aasi hai.
aab dekhna ye tha ki mj apne Bhai ki jaan bacha paaega ya nahi.Mj ke office me ek baar phir letter aaya tha. Mj ne dar ke sath use padna shuru kiya.usme likha tha-
" mere pichle war se to tum be apne ghar to bacha liya par is baar asa nahi hoga mj. jaan to jaaegi kissi na kissi ki.meri maano to kafan kharid lo."
- tumhara dusman.....
Mj ne turant apne bade bete Rishab, Bhai aur pc,Aamir ko bulaya. Puri baat jaane ke baad Rudrasha ne sub kuch mj ko Bata dia ki use kisi ka phone aaya tha aur usne mujhe kyu aur kaha bulaya hai.
"hum us no.se us aadmi ka pata laga sakte hai papa,Hume pata chal jaaega vo aadmi Kon hai." Rishab ne kaha.

tum abhi chote ho nahi jaante ase logo ko na to vo phone uska hoga, na sim aur na number. Aamir rutraksha ke upar tum Pura din sath me rahoge aur 4 body guards bhi. vo mere Bhai ko maarna chahta hai. Mj me kaha .

mai Kal waha jaaunga aur ye dekh lunga ki Kon hai Jo humse dusmani nikaal raha hai aur use vahi maar bhi dunga. - Rudrasha me kaha.
tum kahi nahi jaaoge - mj me Rudrasha se kaha.
iss par nazar karho Aamir aur party me CCTV camera ki footage mangao.vo aadmi use party me zarur aaya hoga .
Ek baar saamne as jaae bus uski Kahani vahi par khatam.

agle din 4 bodyguards aur Aamir Rudrasha ki nigrani me lage the par Mj ek galti Kar raha tha,
"kabhi bhi dusman ki baat par itna bharosa mat karo ki apni akal kaam hi na Kare ".
uska Pura dhyaan bus Rudrasha par tha par, vo ye baat bhul gaya ki uske ghar me aur bhi log hai .

shaam ke 4.30 baje mj ko ek call aya- "Papa mujhe bacha lo Papa. ye log mujhe maar denge"
apne bete,rihaan ki aawaz sun li hoto ek kaam kar 5crore le kar mere batae address par 1 ghante me aa.
Mj suno suno chillata raha par call cut ho gaya.
ye baat mj ne kissi ko nahi batai aur nikal gaya paise le kar.

udar rihaan 21saal ka ladka apni Zindagi ki bhik maag raha tha-"please mujhe jaane do".
Meri shakal abhi Tak mj me bhi nahi Dekhi thi aur na rihaan ne.

Mj paise le kar address par aa gaya aur usi no.kar call kiya, phone band tha.use dusre no. se call aya- "apne bete ko zinda dekhna chahta hai to saare paise yahi Jala de abhi".
tumne mujhse 5crore mangae jalane ke liye. are u mad? mj me gusse se bola. call cut ho chuka tha.

mj ne saare paise Jala diye.
use ek aur message aaya ek nae address ka .mj gadi le kar waha gaya.

Ek Khali maidaan me ek Chita jal rahi thi, Mj use dekh Kar mano paagal ho raha tha uske aasu ek azzib sa sukoon de rahe the mujhe.
"Mai us insaan ko yahi isi jagha zinda jalaunge beta jisne tumhari ye halat ki hai." mj ne us Chita ko dekh Kar kaha tabhi ek pattar use aakar laga usme ek kaagaj lapeta hua tha. mj ne letter ko padha usme likha tha-
"tumne 3 galtiya ki...
1.dusman pe zaroorat se zada bharosa.
2.apna dhyaan bus Rudrasha par rakha.
3.tumhe lagta tha ki insaan paise se subkuch kharid sakta hai, mere Papa ko bhi tumne yahi kaha tha na,isliye tumse tumhare hi paise Jala diye jisse tumhara ye bhram duurho jaae....

aaj khus ho lo Mj beta Mara nahi tumhara, zinda hai aur tumse pahele Ghar bhi pahuch jaaega. Ye sub Maine tumhe apni taakat aur tumhari bebasi dikhane ke liye kiya tha ,par agli baar Chita Khali nahi jalegi......."
Ghar pahuchte hi Mj he rihaan ke baare me pucha, rihaan ne usse jawaab dai: Mae thik hu Dad! .relax.
tum aaj Sara din kaha the?
aap mere sath aaiye batata hu.Rihaan ne dhire se mj se kaha.

dono Ghar ke garden me the.Bolo beta, mj me rihaan se kaha.

"kabhi - kabhi maa baap me karmo ka fal unko aaulad ko chukana padta hai aur tum bhi aaj yaha apne baap ke karmo ke fal ki bajah se aae ho".us aadmi me mujhse itni hi kaha dad Maine Ghar me kissi ko kuch nahi bataya hai. Aap ne kuch galat to nahi kia hai na dad?
tumne uski shakal Dekhi ?
nahi dad , sub kuch kala tha waha par.
aap ne Meri baat ka jawap nahi dia dad.
muj par bharosa rakho, mj me bola tha ki 2nd floor se goli chalne ki aawaz aai.
sub upar bhag Kar gae to dekha Rudrasha ki laash padi hai, mar chuka tha vo, aur diwaar par likha tha-
"Dusman par thoda to bharosa karna chaiye MJ. Maine kaha tha kafan khreed lo."
Rudrasha ki patni, Kanika rightoo rahi thi,uska koi beta nahi tha. begunaah thi Kanika par Rudrasha ki jaan jaane se saza to use bhi mili, khusiya uski bhi chali gai......
Ghar me dukh ka maahul tha. Rishab ne police ko bulaya tha. police apna kaam Kar raha tha aur Mj apna .
agle din postmortem ke baad Rudrasha ka antim sanskar kia gaya.
"un Charo bodyguards ko humare dusre bungalow par bulao Aamir"mj ne akele me kaha.
Bodyguards as chuke the ek baar me mj be bila koi daleel sine un Charo ko maar dia.
"ab ateet me phir lautne ka wakt ho gaya hai Aamir " mj ne kaha.
list nikaalo humare is time par zitne bhi dusman hai aur best gun shooters ko contract de do. aaj din ke3.00 ho rahe hai unmese koi bhi Kal ka Suraj dekne ke liye zinda nahi bachana chaiye warna tumhari jaan ko mujse khatra hai.
"ji Mj." Aamir ne kaha aur waha se Chala gaya...
us raat 16 laashe giri thi.
par jisse Mj ko khatra jisse subse zada tha vo aaj bhi zinda tha.
ye khel asal me aaj se 2 saal pahele hi suru ho chuka tha ridhima ke sath.
is khel me mere hukum ka ikka .
ridhima 2 saalo se mere sath thi aur is baare me kissi ko kuch nahi pata tha ab vo hi mujhe unke Kar war har chal ka pata batane wali thi.
" mae uska istemaal nahi kar raha tha, ye sub uske baap ke karmo ka fal tha Jo usske sath ye sub hua".
aab wakt as gaya tha mj ke saamne aane ka, usse nazare milane ka.
Mj ki company ko ek nai invester ki zarurat thi aur use uska invester mil bhi gaya tha, Rohan shah jisne mj ki company me subse zaada paise invest kiye the. Mj me mujhe khud apne hi Ghar me aa Kar rahene ke kiye kaha.
kismat ka khel dekho Mai usi Ghar me waapas aara the his Ghar se mj ne mujhe bachpan me, 10 saal ki Umar me dhakke maar Kar nikala tha.
"Aaj shikaar shikari ko khud bulara raha tha".
Mj ke Ghar ki taraf badte mere har kadam uski barbaadi ko likh rahi the.mere Ghar par aane par Mj kitna khus tha ridhima until hi pareshan!
"ridhima jaao Rohan ko uska kamra dikha do"mj me kaha.
Ji Papa, ridhima me kaha.
kamare me aate hi ridhima me mujse bola - tum yaha kyu? Papa ki company me tumne invest kyu Kiya? agar une pata chal gaya ki hum dono...
"chup! chup ho jaao.itna kyu pareshan ho rahi ho.tumne to khus hona chaiye Mai ab tumhare sath hi rahunga....
relax wakt dekh Kar Mai tumhare Papa se baat Kar luga".
tumhe lagta hai papa maanenge?
kyu , itna bura dikhta hu?
ridhima haste hue chali gai.....
aab baari uski jaan jaane wali thi jisne mujhe mj se bachaya tha. karz to utarna tha unka, ridhima ki maa,ab Kirti ki baari thi.....
aaj bhi yaad hai mujhe Kirti Singhaniya ki vo baate,
" jaane do mj.bachha hai ise nahi marte hai aur waise bhi uske maa baap ko to ise Marne ki dhamki de Kar sare paise aur property mil gai hai aur unhe bhi maar dia hai".....

har insaan ki koi na koi kamzori hoti hai. ab mj ki kamzori hi Kirti ki jaan lene wali thi. Agle din mj ko phir ek letter Mila -
"aab Bari ridhima ki hai, par option hai tumhare pass. tum agar Kirti ki jaan le lo to Mai ridhima ko kuch nahi karunga warna Mai lab, Kya aur kase Kar sakta huye to tum dekh hi chuke ho aur ha mai jaanta hu ki Kirti ho ya koi aur ladkiyo ki aahmiyat tumhare liye kuch khaas nahi hai, waise ridhima bhi to ladki hai na.
2 ghante ka wakt hai tumhare pass faisla par lo warna Mai faisla karunga to tumhe ayacha nahi lagega"
raat ke 10pm baj rahe the mj ke pass bus 1hrs Bache the.usne Kirti ko terrace par aane ko kaha.
Kya hua mj kuch baat hai?
ha Kirti, mj me use saari baate suru se batau aur ridhima wali baat bhi.
to tum chahate ho ki Mai ridhima ke liye apni jaan de di?
tumhe jaan Deni hi padegi Kirti.
"mj ridhima tumhari aaulad hai Meri nahi tum use Ghar me le aae the Mai nahi marna to use hi padega."
mj me hasna surukar diya aur Kirti ko kuch samaj nahi aaraha tha ki tabhi mj ne Kirti ko terrace se dhakke de dia.
14th floor se for Kar Kirti ki jaan chali gai. mera dusra badla bhi Pura hua.....

3 dino baad mj ko call aya-.
very good mj, apni beti ko baccha liya tumne.
- himmat hai to saamne aao.
aaunga , aaunga aur itni bhi jaldi Kya hai.Vaise tum mujhe jaante ho.
- what?
ha, khoj sakte ho to khoj lo. Mai koi bhi ho sakta hu tumhare office ka koi employee, tumhara koi invester , ya phir Aamir, Rishab,rihaan, koi bhi.
- chup ho jaao! tum is baar bhi Mera dhyaan bhatka rahe ho par isbaar asa nahi hoga...

ek taraf mj mujhe dhamki de raha tha to dusri taraf use apne bachho ki Zindagi ki bhi fikar thi aakhir rihaan ke sath Jo hua vo phir ho sakta tha.
ek raat mj ne kuch jaada hi drink ki hui thi, vo mere hi sath baitha tha,
- koi mujhe barbaad karna chahta hai.
kyu ? Maine pucha
- hai koi , Jo mujhse badla le raha.
Mai hu.
- kya? mj me chok Kar pucha.
Mera mtlb hai ki Mai aap ke sath hu chinta mat kijiye .waise aap apni property apne bachho ko abhi distribute kyu nahi Kar dete aakhir Zindagi ka koi bharosa nahi.
-bharosa to insaan ka bhi nahi hota.
par hum karte hai. mj me kaha.
aur vo insaan hi hamara bharosa tor deta hai aur usi ke saath hum bhi toot jaate hai...
- tum thik bol rahe ho Mai abhi property distribution se papers mangwata hu.
abhi aap nashe me hai abhi nahi aap me account no. ya koi aur galti kardi to.....
- tumhe lagta hai ki mujhe kuch yaad nahi to suno Mera account no.hai- 0009642asfg issi tarah mj ne mujhe apni saari details Bata di.

is Ghar me aane me pahale Kon Kya karta hai, kab karta hai sub kuch pata Kar ke aaya that par Mj ye bhul gaya tha ki use drinks ke baad subha kuch yaad nahi rahata .

subha mj me pareo tale zamin kisak
gai. uske account me bus 10rs the. raato raat crores ka account bayab.
mj me naam phir ek letter aaya....

" khus ho jaao mj tumhare paise haine charity funds me daal diye hai ab tum annath bachho ka operation karao ge. tumhare account me bus 500rs hai kuch jaada aaya "
(mj ko an sub kuch yaad aane laga tha.
mujhe Ghar se nikaalte wakt usne bhi mujhe 500rs diye the.....)
sahi sooch rahe ho Mai, anuraag Tripathi ka beta,maahir Tripathi hu.mj gusse se paagal ho raha tha. vo aamir ko bol Kar mujhe dudn sake itne paise bhi nahi the uske pass.

tv , media ,press sub bus uski kabare hi dikha rahe the.ghar aur land property ke aalawa uske pass ab kuch nahi tha. mj unhe hi Bach Kar apne Ghar Chala raha tha.maine bhi koi waar nahi Kiya , mj ko is tarah dekh Kar sukoon mil raha tha.

uske 2 hakte ke baad mj mere pass aaya,
"Mai is bussiness ko khamat karna chahta hu"mj ne mujhse kaha......
par kyu mj ?Maine kaha.
Mai chachata hu ki ab bussiness nahi rishteydari nibhi jaae. mj ne bola.
" aap ke shares gir gaya company bik gai paise hai nahi. aap ridhima ki Shaadi mujhe Kara ke apana bank balance strong karna chahte hai." asa Mai nahi duniya kahegi aP ko.

duniya ki fikra nahi hai mujhe. tum apana fasla batao. mj me kaha aur Maine has kardi. ridhima ki Khushi ka bhi thikana nahi tha .
mj se Maine PAUSE aur PARIVAAR to chin hi liya that ab baari thi IZZAT ki .
sham ko media aur tv par ek hi news thi, ek tape recording jise news wale mj ki call recording Bata rahe the .
" mujhe vo company chaiye Aamir. 2hrs deto unhe company ko hamare naam Kar Diya to thik hai warna Jase bakiyo ko maar ke gaayab Kiya tha wase hi use bhi...."
company dub jaane ke baad sare political connection, media connection sub tut chuke the.mj se usski IZZAT bhi chinle this maine. vo apne bachho ko samjha raha tha, ye Mae nahi hu Mera yakiin karo. aaj rihaan , Rishab aur ridhima sub chup the air unki khamoshi hi unka jawaab thi...
mj ki aakho me aaj aashu the. "Meri maddat karo rohan.mujhe vo aadmi apni narzo ke saamne chaiye."

aaj Tak aap ne mujhse kabhi maddat mango hi nahi.khar Kal sham 6.00 baje vo aadmi aap ke saamne hoga.
kya? kase? mj me pucha
-aap me apni taakat dikha di aab Meri baari hai.maine mj se kaha.
wakt aa gaya tha aakhiri chal ka.
agle din,
6.00 baj chuke the mj aur Mai meri batae pate par aa chuke the.
mj ne muzse kaha- kon hai vo? yaha to koi nahi?
- thik se dekho mj. tumhare saamne hi khada hai.
(2 minute Tak mj mujhe dekhta raha)
tum?par kyu? mj me mujhse kaha.

Mai vo hu mj jisski khushiyo ko Jala Kar tumne apna naam banaya. Mai tumhare phele shikar ka beta. tumne mujhse Mera parivaar, khusiya aur Paisa China tha Maine tumse tumhara parivaar , Paisa aur izzat chin li....
isse phele mj kuch Kare mj turant mj ko goli mar di, ek nahi Kai jab Tak Dil nahi bhara.....
"Papa" ridhima khate hue aai.
kyu Mara tumne mere Papa ki? kyu? tum to shaddi Karna chahte the na? Pyaar karte ho na phir kyu?
vo roe jaa rahi thi.
kafi der ke baad usne mujhe bola, Maine Kal tumhari aur Papa ki baate sun li thi par sacchai ye hogi nahi pata tha.
Maine ridhima ki sub kuch suru se bataya.
par phir Mere sath Pyaar kyu?
ridhima me pucha.

mj ko harane ke liye maine tumhe plan B ki tarah dekha par wakt kab badal gaya pata hi nahi chala. tum khel se lat ban gai Meri . ha tumhara hath pakra tha tumhe istemaal karne ke liye par aab Mai tumhara sath Sach me chahta hu.mai jaanta hu,
Mai tumhara gunegaar hu.
Maine goli ridhima ko di aur kaha,
Jo bhi saza dani ho de do.....

ridhima ne kaha- paana chahte ho na mujhe aur goli ki nook Meri naraf ki. ek laambi saas li aur usne aur khud to goli mar li....
" ridhima" Mai chilata raha par, vo jaa chuki thi....

aaj asa lag raha tha ki mj ko maar kar maine apna badla to le liye par, mai haar gaya. bahut Badi kimmat chukaai Maine apne badale ki.......

us din ke baad ,
shareer me saase to thi par jaan nahi,
Zindagi me shaanti to thi par Khushi nahi,
maano Meri Zindagi ka koi maksad hi na ho aur bina maksad ki Zindagi maut ke barabar hoti hai.

to Maine Zindagi ko nahi MAUT ko Chuna......

# THE END......


© nikhil




#thriller #Hate #nafrat #story #badla