...

11 views

sapne aur aukat
Bhikhari hokar paida hote to bachpan se hi haath mein koi katora thama kar bolta ki aaj se teri kismat yahi hai. Raees hokar paida hote to zuban se farmayish kari nahi ki pure ho jaate. Sala middle class logon ki yahi problem hai, na to bade shaukh paalne ki haisiyat rakhte hain aur na hi jholi failane ki jitni killat hai. Ameeron ko ameeri maar dalti hai, gareebon ko gareebi par hum middle class walon ko to hamari chahatein hi maar dalti hain. Hum bade sapne dekhne lage na to haisiyat bura maan jati hai bhai, nahi kar sakte, sapne sanjone ki himmat bhi nahi kar sakte. Bachpan mein jab khana nahi khate the ya sote nahi the to mamma kehti thi kha le varna bhoot aa jayega, so ja varna bhoot leke chala jayega. Shayad uss waqt se hi agar yeh kaha jata ki doctor, engineer kabhi matt banna ha beta varna bhoot aake le jayega to shayad aaj na woh sapne dekhe jate aur na tootne par koi gham hota. Sapne dil aur dimag dono mein palte hain, farq sirf itna hai ki dil mein sapne chahaton ke wajah se palte hain aur dimag mein halaton ki wajah se palne lag jate hain. Humesha aashirvad dete waqt bola gaya doctor banna aur naam roshan karna apne maa baap ka. Aaj jab poore karne ka waqt aaya to maa baap ne hi haath khade kar diye. Aaj tak sunte aaye ki pair utne hi failao jitni lambi chadar ho. Hum raat bhar pair sikudkar sote rahe, subah uthkar dekha toh sala chadar hi baby size ka nikla.