...

14 views

HAASIL...
Har insaan ka ek maksad hota hai,
Ek sapna hota hai,

Aur insaan apne usi maksad ko paane ke liye jeeta hai aur marta hai !!!

Mera bhi ek asa hi maksad tha,
Ek asa hi sapna jiski manzil hi, kissi ki barbaadi thi.
kissi ka wajud mitana tha, kissi ko zinda jalana tha...

( 23rd of JULY, 2016 )

SAMAYRA ke saath maine, VANSH RAICHAND ne phere liye, shadi hui hamari.

SAMAYRA ko lag raha tha ki ye love marriage uski zindagi me khusiyo ki ek baarish le kar aaegi !

par, INSAAN JO MAANGE, ZINDAGI VO DETI KAHA HAI !

ye kahani kuch asi hai ki,
SAMAYRA ki khushiya mujhse hai,
aur meri barbaadi usse...

( Shadi khatam hui, SAMAYRA ab mere ghar par thi, sub khus the is shaddi se sirf ek ko chor kar, mera bhai, KABIR RAICHAND )

( kuch der baad, in the room )

SAMAYRA : finally! we r together vansh. is din ka kab se Intezaar tha mujhe.

VANSH : mujhe bhi !
chalo aakhne band karo tum, i have a
surprise for u .

SAMAYRA : like seriously! mujhe nahi pata tha tum itne romantic ho, kya baat hai.

VANSH : ab muh aur aakhne dono band karo, jaldi.

SAMAYRA : ok

( waha uski aakhne band hui aur idhar mere haatho me fruit knife 🔪 tha,
vo kya hai na dard ki aadat pheli din se se hi ho jaae to ayacha hai .
mai samayra ke pass gaya aur knife uski taraf badaya ki tabhi )

- "SURPRISE"
🥳🥳🥳🥳🥳🥳🥳🥳

( KABIR aur KAVYA, meri behan ki roz se aawaz aai, samayra ki aankhe khul gai )

KABIR : bhabhi ye cake aap ke liye, bhaiya ne bataya tha aap dono ek saal phele aaj ke din hi mile the aur aaj hi aap dono ki shadi hui .

KAVYA : dekho bhabhi aaj hi shaddi hui aur aaj hi anniversary bhi hai 😂.

( cake cutting ke baad,
Kabir mere pass aaya )

KABIR : jo aap chahte ho vo mai hone nahi dunga bhai.

VANSH : aaj tumne bacha liya samayra ko par ab vo yahi rahegi, zaada din nahi Bach paaegi.
dekho na tumne kitni koshih ki par maine usse shaddi kar hi li.

KABIR : apne kal ki wajha se kahi apna aaj khatam kar do aap !
samayra pyaar karti hai aap se,aur aap !

VANSH : ha to ! maine bhi to kiya tha na pyaar usse, kya mila mujhe, hmm bolo ?
2 saal phele hue accident mai uski yaad-dast gai hai, meri nahi .
mujhe to sub yaad hai na ki usne kya kiya tha.
use to bus ATTET ME KIYE GAE GUNAAH KI KIMAT CHUKANI HAI, aur kuch nahi.

( raat 11.00 baje )

VANSH : samayra tum soo jaao, mujhe kuch kaam hai aur important documents ready karke abroad ki company ko dene hai.

SAMAYRA : r u serious ! 😑 hamari shaddi hui hai yrr abhi abhi , saath me time spend karne ki jagha tum ye Gyaan de rahe !

VANSH : I m sorry baby, but Indian ke top 4th business man hu, status maintain rakhne ke liye itna to karna padega na ! par hum jaldi hi kahi ghumne jaaenge, kaam se dur, subse dur...

( 24th of July, raat 3 baje )
( chat par bansh akela tha aur ek diary ko dekh raha tha, diary me uske aur samayra ki bahut saari pics thi )

VANSH : sub kuch kitna ayacha tha samayra, par tumne sub barbaad kar diya. kyu kiya asa mere saath ?

kuch saal phele, mere har sukoon ki wajha tum thi, aaj mere har dard ki wajah bhi tum ho.
mujhe sameta bhi tumne tha aur toda bhi tumne, kyu ?

( rote rote vansh ki aakh lag gai aur vo so gaya, kuch der baad Kabir waha aaya )

KABIR : ( khud se )
ye to vahi diary hai jo vansh bhai kai baar akele baith kar ghanto tak dekhte hai. aakhir hai kya isme ?
aaj mauka bhi sahi hai aur ye mauka mere haath se nahi jaana chahiye.

( Kabir ne diary kholi )

KABIR : what ? ye to puri dairy hi khali hai, kuch nahi likha hai aur koi photo ya samaan bhi nahi to vansh isme dekhta kya hai phir !
Kahi Vansh bhai phir se to...
No! no! no!

( tabhi vansh ki aakh khulne wali thi ki kabir diary rakh kar waha se chala gaya )

( NEXT DAY )


Vansh : ( living room me roz se chillate hue )
maa ! maa ! kaha hai aap !

( vansh ki aawaz sun kar sub living room me aa gae.

Samayra : kya hua vansh ? itne gusse me maa ko kyu bula rahe .

Kabir : ha bhai, kiya kya hai maa ne.

SUGANDHA ( vansh ki maa ) :
kya hua vansh, kitna gusse me kyu hai tu beta ?

VANSH : kaha thi aap ?

SUGANDHA : yahi to thi mai.

VANSH : jhut nahi maa ! such boliye.
aaj aap phir us insaan se milne gai thi, gai thi yaa nahi...

SUGANDHA : ha, ha, mai gai thi, aur tameez me raho vansh, vo pagal aadmi mera pati hai, tumhara baap hai ! samjha tu !

VANSH : agar agli baar us insaan ko mera baap kaha to ayacha nahi hoga maa, aur aap, aap ke to chun lijiye beta ya pati.... mai baar baar aap ko bhi maaf nahi karunga.

( Samayra ko kuch samaj nahi aa raha tha ki ye sub kya chal raha hai, vansh ke pita us ghar me kyu nahi rahete,
samayra ne sham ko Kabir se is baare me pucha )

Samayra : ye sub kya tha Kabir ?
vansh itna kya gussa hua aur ye kon hai jisse maa apna pati maanti hai par vansh apna pita nahi maanta ?

Kabir : maa ki pheli shaddi, PRAVEEN naam ke ek aadmi se hui thi, mai aur bhai usni ke bacche hai.
6 saal ka tha vansh jab hamare pita ki maut ho gai aur hum raaste par aa gae, koi aage nahi aaya, mazburi me maa ko hume paalne ke liye hamare papa ke dost KUNDAN AGRAWAL se shadi karni padi, KAVYA unhi ho beti hai. vansh kavya ko apni behan hi maanta hai par unhe apna pita nahi.
unho ne hi hum subko paala tha, financially humari condition bahut kharab thi par unhone hi hame Sahara diya aur to aur maa se bhi unki koi expectation ya zabardasti nahi thi is rishtey ke liye. Vo to wakt ke saath...
par, Vansh ko lagta hai ki maa ko dusri shaddi nahi karni chahiye thi unhe papa se loyal rahena chahiye tha....

Samayra : par vansh galat hai, Kabir,tum me se koi uske khilaaf kyu nahi bolta...

Kabir : nahi bhabhi, aap aai galti mat karna, vansh ka gussa phele bhi sub kuch barbaad kar chuka hai...

( samayra waha se chali gai aur apne room me jaate hi usne jo dekha, jo dekh kar uske hosh udar gae )

( vansh haato me ek photoframe pakar kar baitha tha )

VANSH : papa, ye log aap ko bhul sakte hai, mai nahi. maa aur Kabir dono bus paiso me peeche bhaagte hai, us Kundal Agrawal ne kuch paise pheke aur dono uski taraf ho gae, par mai to aap ka beta nu ha papa, mai aap ko kabhi bhi nahi chor kar jaaunga....

SAMAYRA : vansh, ye photo frame khali hai, isme koi photo hai hi nahi, tum ye ye.. ye kisse baat kar rahe ho ?

Vansh : kya? tumhe mere papa ki photo nahi dikh rahi, andhi ho kya tum ( chillate hue ).

Samayra : photo dikhne ke liye photo honi bhi chahiye vansh. tu.. tum.. tum pagal ho, maine shaddi ke phele bhi tumhe dekha hai kissi se baar karte hue , jab ki waha koi nahi tha, mujhe laga ki mujhe koi samajne me galti hui hai par tum such me pagal ho....

Vansh : ha, ha,aihu pagal, dekhogi mera pagal pan...

( vansh ne drawer se apni gun nikaali aur samayra ki taraf point ki )

Samayra : Tum mujhe kaise maar sakte ho vansh ? mai... mai patni hu tumhari, hamari shaddi hui hai !!!

Vansh : ha to shaddi bhi to tumne maarne ke liye ki hai maine !

samayra : kya ? kyu ? maine kya bigaada hai tumhara ?

( dono ki aawaz sun kar KABIR , SUGANDHA, KAVYA sub unke room me aa gae aur vansh ki banduk ke nishaane par samayra ko dekh sub dar gae aur vansh ne samayra par goli chala di )

SUGANDHA : samayra......
tu... tu.. pagal hai kya vansh.

( kavya ye sub dekh kar behosh ho gai )

( sugandha ne vansh ke upar haath uthane ke liye aage badi hi thi ki vansh ki agali goli ka shikaar sugandha ho gai )

itne me bina kuch soche ek aur goli chali par, goli is baar Kabir ne chalai, vansh par.
vansh ko goli lag chuki thi par vansh abhi zinda tha.

Kabir : kitni, kitni baar tujhe samjhaya ki apna paagal pan apni hadd me rakh par meri bimaari wakt ke saath badti hi jaa rahi thi...
tumhara anjaam yahi tha...

dursi goli Kabir ne vansh ke seene me Uttar di aur vansh bhi khatam.

apne maa ko apni aakho ke saamne marte hue dekh kar, apne hi bhai ko apne haath maar kar Kabir ko kuch samaj nahi aa raha tha, usne apni aakhe band ki aur khud ki jaam le li....

Ek raat me pura pariwaar hi khatam ho gaya, apno ne apno ki jaan le li.

KAVYA zinda to bachi thi par, ander se vo bhi mar chuki thi....

Darasal, VANSH ko ek dimaagi bimaari thi, SCHIZOPHRENIA,
ek asi dimaagi bimaari jisme insaan ka dimaag kahaniya banata hai aur use asal zindagi se jor deta hai.
insaan vo dekhta hai jo hua hi nahi.

KAHANI KO VANSH KI NAZAR SE DEKHIYE -

samayra aur vansh college friends the, pyaar hua aur vansh ne samayra ko tut kar chaha par baad me jab samayra ka man bhar gaya to usne vanshko chor diya aur vansh ke baar baar pareshan karne par usne vansh ko jaan se maarne ki koshish ki par nahi maar pai.

ek accident me khud samayra ki yaad-dast challi gai aur vo vansh ko bhul gai to vansh ne dubara usse pyaar kiya shaddi ki jissje vo bhi Samayra ko isbaar wasi hi dhoka de aur usse ye ehsaas dilae hi usko kaise feel hua tha.

ASALIYAT :
samayra vansh ko jaanti bhi nahi thi, even vo ek College me bhi nahi the ye sub bus vansh ke dimaag ki ek kalpana thi...

VANSH KE NAZARIYE SE KAHANI -
uski maa ne dusri shaddi ki aur uske asal pita ki maut ho chuki hai, .

ASALIYAT -
Kundal Agrawal hi PRAVEEN hai, sugandha ne koi dusri shaddi ki hi nahi aur to aur photoframe bhi isliye khaali tha kyuki uske dimaag ne Praveen ko kundan Agrawal bana diya aur Praveen ki jagha ek dimaagi tasveer banadi.

vansh ki is bimaari ke baare me vansh ko kuch nahi pata tha par KABIR aur SUGANDH sub jaante the par, usse kabhi bhi kissi pshycotic treatment nahi mila.

WAKT PAR AGAR SAHI FAISLE LIYE JAATE TO AAJ SHAYAD SUB ZINDA HOTE !!!



-----(end)-----





Comment below if u like the story !.
🙄😉

© nîkhīl