...

8 views

BARISH🌧️
Barasti bundo ko dekhne me Mai buri tarah garq thi jab Wo piche se aa kr meri gardan me bahen daal ker jhool gai thi.
Kya dekha ja rha tha yar itne gor se?
Maine kaha kuch nhi koi tha nhi to in barisho ko hi take ja rhi thi.
ooooohhh Axa g to aapko bhi in barisho ko dekh k woh sab kheyal aate hai jo ek writer ya shaer ko aate h?
Maine kaha kon c kheyal ab bta bhi do...
Are wahi sab ..barisho k aate hi koi yaad aane lgta h .kisi ki judai yad aane lgti h.ya koi bhichadne lgta h .kahi koi milta h ..ishq aashiqi fala fala.....
Maine kaha G bilkul bhi nhi barish ek natural process h .ye hmare liye bahut zaruri h.iske bina zindgi mushkil h .Insan c le kr charind parind aur kheto k liye iska hona bahut zaruri h .............
Excuse me Madam🤦mai science ki teacher c nahi pooch rhi hu 👩‍🏫.mai to ek writer se pooch rhi thi....
Besakhta mere labo p ek gahri si muskan ne basera kr liya ..
Maine kaha such btau to Barisho me sab k sath mil k masti karna ,nahana, khoobsurat manzar ko kalam band karna..ye sab hi bahut achcha lgta h ..bus bijli se bahut darr lagta h .Achcha ye btao kya aesa nhi ho sakta ki bina chamak aur garaj k barish ho ..Fir to mza aa jae..Aur han sab se important baat to btana hi bhool gai thi....
Haan haan bolo na uski aankho me aur chehre per bda hi excitement tha...
Tumhe pta h is barish me mujhe sb se zada kya pasand h ..
Kya ? wo janne k liye besabri ho rhi thi.
Mujhe ishq h usse . mohabbat h wo meri .Agar koi mujhe usse milata h to Mera dil baar baar use dua deta h .Mann karta h ki uske hatho ko choom lu.
Ab naam bhi bta do na .uske sabar ka paemana labrez ho chuka tha.
CHAE AUR PAKODE
chae se mai mohabbat karti hu aur pakode se ishq ..Yaar bna k de deti to Mai hmesha duaen deti ..
Gusse se uska chehra laal ho chuka tha..laan taan karti wo ja rahi thi jisko mai bakhubi sun rhi thi..
Nadidi ..jb dekho khane ki baten.bhukhkhad kahi ki..Are iske jaese log writer bnte h ..kabhi nahi ...zaban h bus zaban.......
Uski awaz ab sunai nhi de rhi thi..Haan barisho se dhule hue nazuk se phool ne, jisper abhi abhi ek rangeen Titli aa kar baethi thi,meri sari tawajja apni taraf kheench li thi.