...

11 views

Adhura khwab....
vo sapna sa hai
kabhi aata hai to kbhi jata hai...
ek adhura sa khwab hai vo
aata hai to dil me bs jaata hai.....
mai akeli thi shant thi
usne dil me ehsaas jgaya...
vo mera tha ya nhi
pr usne nhi btaya.....
mene usko bahut dhunda
har jgha har raaste
par vo ek khwab hai
aata hai to dil me bs jata hai......
ek din usne dheere se dstak di
uske aane ki aahat mujhe sunai di
vo bola nhi shant tha
kyuki adhura uska bhi ek khwab tha....
yahi vo khwab hai
jo adhura hai
kyuki ye aata hai to dil me bs jata hai.

© diksha chauhan