...

3 views

A Scary dream or horrifying reality!
So, how are you?

Today, I'm going to share a dream with you, not an ordinary one, ek aisa sapna jisko dekhne par gala soonkh jaye, pyaas itni lage ki paani kam pad jaye, par darr itna ho ki bistar se uth na paye😏!
But it's a thriller I guess kyuki zyada darawna nahi hai😅 and sort of emotional too😅😅, aisa ek Reader ka kehna h, pr h bhi....padhiye or khud bataiye

Yaa, but it also involves some sort of comedy, isliye pehle hi bata rahi hu, baad me mujhe badnaam na karna!
This will be in two languages, so sorry for the flaws, since flaws have their own beauty!
So, let's start :

Sapne ke pehle thodi reality me jate hai!
Humari is kahani ke character ka naam hum, Jiya rakhte hai.
Baat kuch maheene pehle ki hai, June 2021, raat ka samay tha, kutto ke rone ki awaz aa rahi thi, sadko par sannata pasra hua tha, or jiya ke ghar me sab so rahe the, tabhi achanak jiya or uske baaki ghar walo ko ek cheekh sunayi di, ye kya....
Ye cheekh to............J.J.J.....Jiya ki nani or mausi ki thi.
Jaise hi baki ghar wale or jiya awaz ka peecha karte huye samne ke bedroom me aye, dekh kar sabke hosh udd gaye!
Aakhir aisa kya hua tha?
Jiya ki nazar apne jaan se bhi pyare nanaji par padi, ye ky ho gaya, mama ro rahe the, nani chup thi, or mausi nanaji ko hila rahi thi, is koshish mein ki vo kuch bole, Jiya ke kuch samajh mein hi nahi aaya, ki hua kya, usne bhi apne nanaji ko uthane ki bohot koshish ki, koshish ki, ki ek aakhri baar hi sahi par unse baat kr sake, par niyati kisi ke liye nahi badalti!
Ghar mein alag hi pasra hua sannata, shok ka mahol, sab sadme mein (haa nanaji ki tabiyat kharab to thi kuch maheeno se, par condition sudhar rahi thi...........or ab achanak ye ky!)
Jiya ki nani us din shaam se hi uske nanaji ke paas baithi thi kyuki unka mann bohot pareshan tha, or unka khayal rakh rahi thi, par aisa to unhone bhi sapne mein nahi socha tha!
Khair tehrvi ho gayi, sab aa kar chale gaye, I maheena beeta or aa gaya Rakshabandhan!
Pehla tyohar, nanaji ke jane ke baad!
( Is sab me ye batana to reh hi gaya ki Jiya ne jab sab witness kiya tha n, matlab death, rituals, etc...etc.. tab usko bilkul negativity feel nahi huyi, infact usne khud apne nanaji ko touch kiya tha, par fir bhi kuch experience nahi hua, na hi uske man mein aisa kuch aaya tha! Fir aisa kya hua......)
Rakshabandhan ho gaya, Jiya ki mummi or mausi abhi ruke huye the nani ke ghar, Jiya nani ke paas soti thi ek room mein or baki sab doosre hall mein kyuki log fir bhi bht the!
To raat ka wakt ho chala tha, sab so gaye the.
Achanak samne hall mein sabko kisi ke zor zor se rone ki awaz aayi.......ye akhir kon ho sakta hai, itni buri tarah se to koyi nanaji ke jane par bhi nahi roya tha, awaz bhi bohot alag thi!
Jab sabne jiya or nani k room mein aakar dekha, to ye kya, Jiya ro rahi thi nani ko pakad kar, or unhe bhi uthane ki koshish kar rahi thi. Dono baithe huye the, par......Jiya neend mein thi!
Aisa hota hai ky, ki neend mein koi itni zor se roye ki real mein sabko sunayi de, real mein hi ro rahi thi Jiya, par vo neend mein thi.
Sabne usko bohot hilaya, par koi asar nahi hua, fir uske mama uspar bohot jam se chillaye or fir Jiya hosh mein aayi. Or ye kya.........hosh mein aate hi Jiya ne sabko dekha or shocked ho gai ki sab yaha par ky kar rahe hai, usne sabko dekha, or fir so gayi blanket odh kr.
Ab baki sab shocked ho gaye ki daura to nahi pad gaya isko🤣. Fir nani ne bataya ki do billi lad rahi thi yaha room mein or ek ne unko panja maar diya, jis wajah se vo cheekhi or fir pata nahi, shayad Jiya dar gayi ho isliye royi hogi!
Agli subah Jiya ko jab pichli raath ky hua pata chala to pehle to use hansi aayi, fir achanak uske chere ke haav bhaav hi badal gaye, maano saap sungh gaya ho! Use flashback ka sab yaad aya....
Pichli raat Jiya ko sapna aaya tha ki, uski nani ko koi kheench kar kahi le jaa raha hai, uss aadmi ya jo koi bhi tha, uski shakal bohot ajeeb si thi, uske haath mein janzeer thi, jisse usne nani ko bandh rakha tha or chehra bigda hua, kapde khoon se lath path, or Jiya ko tabhi uski nani ki cheekh sunayi di, use wahi din yaad aa gaya, jab nanaji sab se door huye the. Uss din bhi Jiya ne khud ko sambhala tha or ro nahi payi thi, shayad isliye,iss baar same cheez visualise hone par vo foont foont kar royi!
Par awaz ka rahesya aaj bhi bana hua tha, akhir aawaz kaise badli thi Jiya ki.

That's a real experience, jo ki ab tak ek mystery bana hua hai, but I think ki isme paranormal world se kuch nahi juda hai, ha ho sakta hai, par iske baad aisa kuch nahi hua, bas Jiya ko kabhi kabhi presence feel hoti thi kisiki, jo ki ab nahi hoti.
Kabhi kabhi aisi cheeze apko sirf apni presence hi feel karwana chahti hai.
Jiya bhagwan mein bohot manti hai isliye, shayad vo bach payi.
Khair, apka ky manna hai?
Mai to bas yahi kahungi, Dikhti to hawa bhi nahi hai, par hoti to hai, vaise hi kuch cheeze hum insano ke pare hai..............shayad sach, shayad Afsana.......par......hai to sirf.........Rahasya!

If you liked it, please tell me should I continue to write more. Btw, it's a Real horror experience!
And please, no one is forcing you to believe in it, kyuki jo experience karta hai, use hi pata hota hai, ki kya sach hai.......baki sabko bas fake hi lagta hai.
So if you believe, it's your wish and if you don't, then take it as a story.


Ok, so that's for now!
Tc💖
aishpoetry1😊
@Yashvardhan Singh Baghel bhai have a read😂
#aishkihorrorstory
© Jiya_^_wings🖋️✨