...

1 views

Sunhere Pakheru...
Mera desh mahaan hai,
jahaan Seema mein data javaan,
aur khet mein khada kisaan hai.
Mera desh mahaan hai,
yahaan bhagwatgita ke saath kuran ka
bhi gun-gaan hota hai,
Mera desh mahaan hai.

Bharat ek Desh nhi ek bada samohik parivaar hai,isliye yahaan 'atithi devo bhava'aur 'vasudaiv kutumbakam'ko bahot mahatva diya gaya hai.Hamari Bharat mata ki pehchaan uske havaa ,mitti aur vatavaran se nhi balki
uske logon se hai.Bharat ki apni ek anokhi kahaani humare purvajon ne itihaas ke sunhere panno par likha hai

Punjab ke gehu ki faslon se lekar asam
ke chai bagaano se hokar gujratiyon ki
mithaas mein se Tamil Nadu ke bhavya mandiron se Bangal ke bhinn-bhinn nrutya ,Humari sone ki chidiya ke pankhon ko pura kar usey unche bulandiyon Tak pahunchane mein saksham hai.

Bharat shrest hai, uske har Ghar mein ek jawaan paida hota hai Jo apne dusre maa ke Mamta mein apne praan Khushi se de deta hai.

Bhartiya sanskruti aur parampara bahut puraani aur daivya hai.Humare Bharat mein kayi bhagwaano ki jai-jaikaar sunaai deti hai jo bharatwaasi ke heet ki maala gothne mein sahayta karta hai.

Thande Him ke chamkeele chotiyon ko chookar Ganga ke sheetal paani se bhatti jaise dahekte Thar ke reton se Devgruha Keral ke kele ke pattiyon se ek
aawaaj gunjta hai,
"JAI HIND!"
Bharat ki ekagrata badh chuki hai,
Mumbai ki shev Puri Delhiwalon ke muh mein paani laa deta hai.Jabki Banaras ke teekhe paan aur Bihar ke litti chokkha Mumbai mein bikhte hai.Chennai ke dose Bangal mein aur Bangal ke ras gulle Chennai mein chaavse khaye jaate hai .
Mere Desh ko jaan na hai to uske videshi chatton se nikal kar uske chaali aur galliyon mein chalo jo tumhein nayi kahaani bataayein gi .
Har Galli ki apni ek aahat hoti hai,
khule darwaaze aur khidkiyaan tumhe Dil se swagat karti hain.


Ganga Pooja mein jalti hui lay se kedarnath ji ki Abhishek se tappakar Ma Durga ka navratri mein Pooja aur dushhera mein duston ka wadh ,Bharat aur uske sahnivaasiyon ka kaushalya darshata hai.

Ek patthar se bane bhavya smarak, se Bulandh darwaaza ki parchaayi sheesh mehaal par,Bhrihadeshwar Mandir ke kitne Bhagwaan par aur Taj Mahal ke safed sangmarmar ki chamak Bharatwasiyon ke aankhon par Umang ki nayi Kiran jagaata hai .

Bharatwaasi dete iss tirange ko salaam hai kyonki ye humari,
shaan hai.
Nahi jhukenge neeche jab tab humare dadhakte dilon mein iss jahaan ka naam hai


§§§§§§§~ARCHIT~§§§§§§§§§