...

14 views

A memorable Journey(May2016)
Subah ka khoobsurat Manzar meri sapno se Munawwar aankhon mein aur zada jagmagahat bhr rha tha.Fajar ka waqt tha raste bhi bilkul pursukoon nazar aa rhe the..Na gadiyon ka shor na aata jate log. Aesa lg rha tha ki shahr mujhe khamoshi se khush Aamdeed kh rha ho.😊
Bachpan se ek hi Dream to sb ne aankhon me dala tha ki "Meri gudiya to Dr banegi" aur mujhe bhi apne name ke sath Dr likhna achcha lgta tha .Ye alag baat h ki unki zindgi pasnad nhi Qki mai ek "Sleeping Lover" hu aur doctron ko to koi sone hi nhi deta yahi sunti aai thi lekin aajkl to halaat bilkul mukhtlif h Mariz bhle hi mr jae Dr to apne time per hi aaenge.
BUMS ,MBBS ke entrance ke liye mai Aligarh aai hui thi ..Paper dene k baad Ali bhai mujhe puri University dikha rha tha .Bahut se campus ko mai books aur phone me phle bhi dekh chuki thi ....
JAWAHARLAL NEHRU MEDICAL COLLEGE ke pass to meri sansen thamne lgi .Yahi to meri manzil thi👩‍⚕️
Uske baad bhai sb batane lga ki hmare relatives kaha padhte h kis kis campus me....
Kitni khoobsurat thi na AMU!!!!
Sir Syed Sir ko salute krne ko dil chaha..unki is den ke liye sare Alig unke qarzdaar rahenge.
"अतिथि देवो भव। " aaj is baat ka practical bhi ho gya tha Aunty ki khatir madaraat se....
Wapsi me school ki ek dost xyz mil gai jo ki mujhe jate time bhi mili thi ,aate waqt ittefaque se hmlog bilkul ek hi pass the .Usko dekh ker meri cheekh niklne wali thi khushi se ,lkn aur logo ki maojudgi ki wja se maine zabt kr liye .kitna khush thi mai usko paker mai bta bhi nhi skti .bhai k pas se uth ker mai uske bilkul pas chli gai thi.
Hmlog puri raat baat kiye the.Aadhi raat ke baad uska bhai utha to bola ki Arre bnni so jao ,subah bhi hogi.woh boli bhai aap so jaiye hmlog sath m so jaenge...Ek hi seat p aade tirche pade kitni sari baten kiye the hmlog us raat ....😊
subah bhai uth kr mujhe dhoodhne lga to mai boli bhai mai yaha hu oopar.😀

Ek to entrance ke baad khwabon se bahut km doori lg rhi thi dusre xyz ne mil ker is din ko ekdm yaadgaar bna diya tha ....
Ek doosre ka hath thame ,snacks khate hue hm bahar ke daodte bhagte hue manazr ko dekhte hue kitne srshaar the ye pass baethe hmare bhaiyon ko bhi mehsoos ho rha tha.
© All Rights Reserved