ek ladki
Toh voh ladki ab udna chahti hai !
Tasveero se bahar nikal kar muskurana chahti hai
ek baar khulke apni zindagi jeena chahti hai
na jaane kyu sehmi si rehti hai voh
na jaane kyu itna darti hai voh
na jaane kyu subke baare me itna sochti hai voh
ki khudke baare me sochna hi bhul jaati hai
kuch karne ka ab dil nahi karta uska
bahar jaane ke liye tarasne vali ab kayi baar bolne par bhi bahar nahi jaana chahti
Subke saath khushiya baatne vali ab khudme simat gayi hai akeli rehna enjoy karne lagi hai
Kisise ab ummid nahi hai usse koi aayega , madad karega , hasayega , nahi ab khudme hi khone lagi hai voh
Badalne lagi hai voh
In khudke banaye pinjaro ko todkar
Udna hai usse kaafi dur bohot dur itna dur ki voh kabhi fhirse yaha aaye hi nahi
Es duniya ko apna chehra dikhaye hi nahi
Vo aise jaye ki Laut ke fhirse aaye hi nahi
kabhi nahi
© safaredard