...

10 views

Rooh ka takrana
Kya kabhi tumne rooh ko takrate huye dhekha hai?
Ek lekakh tha,
Ek ladki thi,
Dono ek dusre se anjaan the,
ajnabee the,
Ek din you hi ek kitab mili,
Ladki ko us kitab mai like huye shabdo se pyaar hua,
Dilchaspi badi,
aur uski har kitabe padi,
Use us lekhakh se lagav hone laga,
Achanak kismat ne karvate badli, chamatkar sa hua,
Ek raat bijli chamki,
Barsat hui,
Mano Sara asman is Milan ki gavahi de raha ho,
us lekhakh ne us ladki se sampark kiya,
Mano jaise us ladki k dil mai khusi ki jwala futi,
Dono Mai batein Hui,
Bhot batein Hui,
Behad pyaar hua,
Puri raat Hua,
Subah hui,
Par na jane us ek raat main aisa kya tha,
K us ladki ne us lekhak ko apna sab kuch de baiti,
Us ladki ko usse ishq hone laga,
Dono Mai dosti Hui,
Roz batein Hui,
Pyaar bhari batein Hui,
Ladki ki kismat tho dheko,
Us ne us ladke pe apna sab kuch var diya,
Than, man, dhan,
Ek din ladki ne pyaar ka izhar kiya,
Lekakh ne thukra diya,
Kaha mai nh kar sakta,
Meri majboori hai,
Mai phir dhoka nh kha sakta,
Mujh mai aur himmat nahi hai,
Lakdi naraj hui,
Khudh ko sambhali,
Socha na hoga vo mera kabhi,
Par kismat ko yeh manzoor na tha,
Vo usse bhula hi na payi,
Aur na jane us lekakh ko b vo bhayi,
Phir dil ko sambhala,
Dosti ka hath badaya,
Par kambhakat yeh ishaq yu hi kaise man leta,
Apne pyaar ko kaise jane deta,
Usne us lekakh ko bhot pyaar kiya,
Bina kissi sawal,
Bina kissi jawab,
Bina kissi khyal vo bas usi lekhah se pyaar karti rahi,
Uski har batein usse bhane lagi,
Uski pasand, na pasand ka b khyal rakhi,
Us ladki ki ek hi khwahish thi usse us lekhak se ek bar milna tha,
Usse dhekna tha,
Usse chuna tha,
Uski Ankhoo mai dhek kar,
Apne sawalo ka jawab dhoondhna tha,
Par yeh ho na saka,
Lekhak kabhi milna sakha,
Yeh do jism kabhi mile hi nh,
Dono ne ek dusre ko dhekha hi nh,
Phir bhi pyaar tha,
Bepanah tha,
Is bar us lekhak k dil mai b ek Arman tha,
Usse bhi shayad us ladki se pyaar sa tha,
Usse bhi uska sath accha sa lagta tha,
Us k bina usko chain kaha tha,
Mano uska dil keh raha ho,
Yehi hai vo,
Jis pyaar ki talash thi tujhe,
Yehi hai vo,
Par dimag keh raha tha,
Ruk ja,
Phir se vo galti na kar,
Yeh sab moh maya hai,
Isse bahar nikal,
Usse khoob kosish ki,
Dur jane ki,
Thukrane ki,
Usse bath na karne hi,
Par yeh ho na saka,
Vo dur reh na saka,
Usse yeh ehsas khub apna sa laga,
Par darta tha vo kahi agar vo usse pa na saka,
Tho phir se vo Tut jayega,
Bhikhar k chur chur hojayega,
Ek bar dhoke se bach gaya,
Is bar Bach na payega,
Issiliy vo rukha rukha sa rehta hai,
Us ladki ko apnane se darta hai,
Na chahte huye bhi yeh do rooh ka milna hi samjho,
Na bole vo ek dusre ko samajne lage,
Ek dusre k taklif ko padne Lage,
Ek dusre k sath khush rehne Lage,
Par abhi tak yeh sharir ek dusre se kabhi mile nh,
Kya kahe is mohabbat ko,
Kya naam de is rishte ko,
Yeh benaam sa Jo rishta hai,
Yeh har riste se upar hi,
Yaha na koi khwaish hai,
Na hi koi chalawa hai,
Bas pyaar hi pyaar har tarfa hai,
Yeh vo roohani pyaar hai,
Jo har rishte har mazhab har jismani se upar hai,
Is pyaar ko kya naam du,
Yeh do jism na ek dusre se mile,
Na ek dusre ko chuye,
Phir bhi humesha k liy ek dusre k hoke reh gaye......







© Speaking Soul 😇