...

11 views

bachche bhagwan ka roop hote hain.. 😇✨
Ummeed bhari nigahon se dekhte hue kabhi dekha hai kisi bachche ko jo iss Ummeed me aapko dekhta hai ki kaash mere sar par bhi koi hath pher ke mujhe kahe kya tum theek ho mere bachche us bachche ke aanshuyon ko pochte hue kabhi puchke dekha hai ki kisi cheez ki jarurat to nhi wo bechara bin maa baap ka bachcha kaise jeeta hoga har din jeene ke liye aapne pet ke bhuk ko mitane ke liye din Dophari me jalta hoga kaam karta hoga yaha se waha traffic signal par logo ko rok rok kar kabhi news paper, to kabhi chai to kabhi pata nhi kya kya us bachche ne bachpan jiya hi nhi bs har din jeene ke liye ladha hai uski khawaishe bas acha khana aur rehne ke liye ek thikana hi hai aur saare sapne to uske maa baap aapne saath lekar chale gaye kabhi uski jagha khud ko rakh kar dekha hai jiya hai waise Zindagi kisi ne naa jaane kitne aise bachche honge jo iss Ummeed bhari nigahon se har din aapko dekhte honge ki bs koi humari madad kar de aise bachchon ki madad karna chhaiye kyon ki bachche bhagwan ka roop hote hai bhagwan ki madad karke aap khud ki madad kar rahe hai to koshish kare aas pass me jab bhi aise bachche mile to unhe pyaar se baitha ke unse unka haal puchle agar ho sake to thodhi madat kar de taaki unhe bhi akela pan mehsoos na ho...

श्रीमदभागवत श्लोक: ४७

कर्मण्येवाधिकारस्ते मा फलेषु कदाचन ।
मा कर्मफलहेतुर्भूर्मा ते संगोऽस्त्वकर्मणि ।।

भावार्थ: तेरा कर्म करने में ही अधिकार है, उसके फलों में कभी नहीं। इसलिये तू कर्मों के फल का हेतु मत हो तथा तेरी कर्म न करने में भी आसक्ति न हो


© shining star💓✨🤗