...

3 views

janmabhoomi Uttarakhand
kahate Hain log.
acche karm kare honge to.
khushiyon se Bhari hogi jindagi.

sochati Hun main bhi.
Shayad maine bhi karenge acche karm.
jindagi Jo itni khubsurat Mili hai.

khushiyon se bhara Ghar.
sapnon se pyara mahaul.
aur Jannat se pyara apna Uttrakhand.

kahate Hain lakhpati Hain ham.
aur yah bhi kahate Hain.
karodpati Hain ham.
per vah khushiyan gadiyon mein ghumne se Kahan milati hai.
jo pahadon mein paidal chalne se milati hai.

vah swad hotel ke khane mein kahan.
Jo chulhe per ke khane mein hai.
Amir gharane ke log.
garmi ho ya Sardi.
kahate Hain chhutti manane kahan jaaye.
ham Jaise pahadi logon ne.
Shayad kabhi socha hoga.

sardiyon mein chamakte Surya ki dhup.
shyam ka ko milkar Aag sikhana.
sardiyon ka ehsas nahin dilati hai.

garmiyon mein barfile pahadon ki thandi hawa.
aur barish ki bunda bandi garmiyon ka ehsas nahin dilati hai.

raat ko khule Aasman ke niche baithkar
khana khane ka maja.
garmiyon ka ehsas nahin dilati hai.

subah chidiya ka chahcha hame uthana.
subah ko aur khubsurat banaa deti hai.

Basant Ritu aane per Uttrakhand ki khubsurti aur man Ko lubha deti hai.

sochati Hun main bhi kya sach mein Karen honge aise karm.

Jo Jannat se khubsurat Uttrakhand Jaise devbhumi mein paida Hui me...😘😘😘😘😘😘