...

1 views

Pyar ke Aas
Ek ladki thi jise apni zindagi main kuch nahi chahiye tha srf pyar chahti thi.Pyar ki aas main bahot thokar khayi usne.
Anam apne maa baap ki ek lauti beti thi,par uske ghar main sukoon nahi tha,sukoon na hone ki wajah paise the kisi bhi chiz ke liye taklif hoti thi unhe,har tyohar pe ghar main jhagde hone the.Anam choti si umar main sab samjh gayi thi,uske maa baap raat ke andhere main jhagde yeh soch kar ki anam so rahi hain.Par jor ki awaz se anam aksar uth jati thi,raaton ko jhagde ki bich roya karti,par uske maa baap ko kabhi pata nhi chala.Anam hamesha chahti thi wo chillaye ki chup ho jao par nahi kar pati thi.Hadh to tab ho jati thi jab uske daddy ghar ana band kar dete the jhagdo ke baad.Anam ki asli musibat tab shuru hoti thi uske dad ke na rehne pe.
Kaise?Anam ki mummy hamesha iljam anam pe dalti ki yeh sab teri wajah se ho raha hain,uske daddy jab ghar nahi aate to mahino gayab ho jate the,is bich anam pe sare julum ho jate pagalo ki tarah mar padti thi mummy se pencil eraser ghum jane par.
© zoha