...

4 views

Majboor Meerah ki mehfooz mohabbat
ajj unse koi bat na ho payegi
ajj woh chehra nahi dekh payenge
ajj woh hath nahi badenge meri aur
ajj mere balo ko koi nai sehlayega
mere gal aur ankhe is sparsh ko yaad karte ashru mein tair rahe honge..

woh waha masoom man se
is dard ke baad se anjaan. astha me lean bathe honge...
hum gham ke Pani mein gothe kha rahe hong...
unke Bina ek bhi din man ko abb nahi rehne ki adat na hi himmat.
ajj kewal ruhaani ehsas hoga humare hisse

ishwar sab jagah hai
aur har jagah hai bhakti,

woh ishwar ki bhakti ko apne saans aur jeevan ka ek hissa mante hain
unke liye riwayete aur riwaz mein pran hai. prathishta hai prerna hai rasta hai ..ghumshuds man ko Bator ne ko kshamta hai unke Maun me
unke Maun Vrat me unko samadhan hai. Shakti hai. sneh hai ki

Asthaa unki ek pathar me bhi prakash dal de itni sachi aur masoom hai
woh ankh moond ke lean hote hain Prabhu ki sharan me. unhe unke dev dikhte hai. unse woh bat karte hai.
unka man padh pe unke Kano me sahas aur dhariya bhar dete hain...

ek pratha jo , Kai varsho pehle ek sankalp se prarambh hue thi ajj woh ek astha ka prateek hai unke liye

ek sankalp jiska parinaam bohot salon tak unke man ko Shanti Dene me kamyab raha ...