...

6 views

Real friendship/online friendship
mujhe dosti karna aur nye dost bnana bht pasand hai shayd sbko hota hai....
par mai hmesha real friendship me believe karti hu na ki social media friendship me.
jahan mobile phone ne do logo ke bich ki duriyan khatm kar di hai jaise ki sare din phone pe baat kar liya dekhne ka man kiya toh video call kar liya aur sara din chat pe lage rahe, matlb ye phone hi toh hai hmara dost, ab log milte kaha hai, ab log samne se mil kar wo ghanton tak dosto ke bich baatein kaha hoti hai.... bhale hi duriyan khtm ho gyi ho par emotions ek dusre ke zajbaat smjhna bhul gye hai log.....whatsapp ke emojis aapke face ke expression nhi byan kar skte, jab hum samne hote hai toh hum kisi ki feelings, emotions ko samjh pate hai par phone ke screen pe message aur emoji me feelings kaise smjhenge wo jhuthe hai ya sacche kaise janoge aap.

Kahne ko bht dost hai fir bhi har kisi ke zindagi me ek akela pan sa hota hai. Wo sath nhi hai kisi apne ka , ki jab rone ka man kare toh kisi ka kandha ho sar rakhne ke liye, wo sath nhi kisi aise ka ki jab preshani ho toh koi gale lga kar ye kahe ki "don't worry sab thik ho jayega", sab busy hai apne apne uljhe huye life me.
wqt sb ke pass utna hi hai din ke 24 hour's matter toh importance krta hai ki aap kisi ko wqt dena chahte ho, agar wqt dena hai kisi ko toh nikal hi jayega aap nikal hi loge, priority matter krti hai.
Ho ske toh thoda wqt nikalo kisi apne ke liye usse baat karo usko smjho use jano ki kya chal raha hai uske life me, uski strength bano, warna toh log bas smjhana jante hai smjhta kaha hai koi kisi ko.......
khush raho and khushiyaan bant te raho......😊
© Shreezasoni