...

25 views

FINAL RESULT
Dher sare dreams me ek dream bachcho ki aankho me TOP karne ka bhi hota hai...wo chahete hai ki class me wo hi TOP kare ..aur ye hamare parents aur guardian bhi chahete hai...lekin uska FINAL RESULT uski taraf to kisi ka dheyan hi nahi jata hai...😔............



8 June....
kitna intezaar tha is din ka use..aur ho bhi q na aaj uski life ke BOARD EXAM ka first time result aane wala tha.....
Jis din ka intezar tha woh din bhi aa gaya...
Raat bhar ajeeb izterabi si kaefiyat thi jis k bais der raat tak nind nahi aai aur subah m Fajar ki namaz choot gai..jab uski aankh khuli to namaz ka waqt khatam ho chuka tha..Mama routine k hisab c tilawat kar rahi thi...usne bechaen se andaz se poocha
"Namaz ka waqt khatm ho gaya?"
mama ne kaha "han"
wo shikayat krne lagi ki uthaya q nahi mujhe😣
mama ne kaha ..."Tumhe kuch khabar hai bahut uthaya tha per tum uthi hi nahi"
khelaf mamool us din wo soi nahi warna Namaz na milne per wo so jati thi....
wo bar bar sahen me tahel rahi thi aur sath sath khud ko kos bhi rahi thi ki aaj mera result aane wala h aur mai hu ki aaj hi namaz nahi padhi...Tahalne per bhi jab uske dil ki kaefiyat kuch badli nahi balki badhti gai to usne tahelna tarq kar diya.......
Hasbe mamool maosam abaralooda tha .Aasman per kali kali ghataye chai hui thi.Hawa k tez jhonko k sath ashjar lahlaha rahe the.parindo ki chahkar aur bade naseem ke jhonko ne maosam ko khushgawar bana diya tha.Aesa bhi lag raha tha ki tez barish hogi..thodi hi der bad zordar barish shuru ho gai.Aesa lag raha tha ki zameen aur Aasman ke beech barish ki chadar taan di gai ho.Pedo k patto se pani chan chan k gir raha tha.Parinde apne ghosalo me chup gaye the...
Uska dil is mahol ko dekh k zara bahel gaya ...fir waha se hut ker wo under aa gai..ghanghor ghata k chane se ghr me andhera chaya hua tha...
Thodi hi der me bachcho ke shor sharaba ne ghar ke pursukoon mahol me chahekaar bhar di..sablog rozmarra ke kamo me lag gae ..

Rafta Rafta waqt guzarta gaya lekin waqt ke guzarne ke sath sath uski beqarari me bhi azafa hota ja raha tha......
usne ek baar fir bahar ka jaeza liya..Aasman se badal chutt chuka tha..Darakhto ki shakho per parinde per samete baethe atraaf ka jaeza le rahe the.Sab kuch dhula dhula lag raha tha.Gili mitti ki khushboo charo taraf faeli hui thi aur woh apni pasandida khushbu ko sans le lekar apne under jazb kar rahi thi..gili mitti ki khushboo uski azli kamzori thi uska dil waha c hatne ko tayyar nahi hua.
kitchen se garma garam pakode ki khushboo aa rahi thi..woh bhi table pe pahuch gai sab garma garam chae pakode uda rahe the..wo bhi wahi baeth gai aur khelaaf aadat 2_3 pakode kha ker uth gai.
uski appo ne kaha ..."oye aaj tere muh pe 12 q baje hai😀...my sweet princess aaj to khushi ka din hai dekhna tmhara bahut achha result aaega mai Dua kar rahi hu"
Mama bhi usko dekh ke pareshan thi aur Baba se results k bare m baat kar rahi thi...sub apne apne hisab se tasalli de rahe the..aur uske hontho pe dua jari thi...aaj to usne bachcho ke sath LUDO khelne se bhi inkar kar diya tha.....
uske Result aane me abhi kafi time thi..waqt guzari ke liye usne sona chaha lekin aaj to nind ki dewi bhi usse khafa thi...karwat badal badal kar jab thak gai to fir uth gai...
Aesa hi hota hai jab koi ahem kaam ho to net hi kaam nahi karta ...🤨
sb uska mazak bna rhe the ki tm fail ho gai ho tabhi tmhara RESULT nahi nikal raha...Uski nazar baar baar ghadi ki soiyo ka tawaaf kar rahi thi..ye aakhiri pal bht bhari padd rhe the usko....dil ki dhadkan etni tez thi ki jaese dil bahar nikal kar dhadak raha ho..door tk dhakane bhi sunai de rahi thi...jub uske bhai ne uske name k sath roll no liya to uski sanse kuch pal k liye ruk gai...jub total aur pesentage nikala gaya to uski appo ne use gale se laga liya tha .gale lagte hi khushi se uski aankhen bheeg gai aur aansu toot toot ker rukhsaro pe bikharne lage..Awaz bhi uska sath nahi de rahi thi 2_3 minutes tak to usne Kx bola hi nahi..ghar me mubarak baad ka shor baar baar uski aankho ko numm kar raha tha..sub ke chehro per musarrat ke rang bikhre hue the aur sub use shabashi de rahe the.........
uske baad mubarak baad ka jo silsila shuru hua to woh raat gae hi khatm hua...sare log usse mithai ki farmaish kar rahe the.ye din uske liye yaadgar din tha..Kal raat to use ghabrahat se nind nahi aa rahi thi aur khushi se...usne sone ki bahut koshish ki lekin jab nind ki dewi us per meharban na hui to usne Aaj k is yaadgar din ko kagaz per bikher ker hamesha yaad rahne ka zariya bana liya....

uski in bato ne mere under ek jang shuru kar di..meri azli rooh bahel gai .
KYA hum isi tarah apne FINAL RESULT ko janne ke liye kabhi bechain rahte hai?
Nahi na?
Exam me hum din raat ker k padhai karte hai taki hamare marks achche aaenge.. KYA hum kabhi Allah swt ko khush karne ke liye din raat itni hi mehnat karte hai taki hamara FINAL RESULT achcha ho?
Nahi na?
KYA hame hashar ke maidan me milne wale Namae Aamal yani ki FINAL RESULT ki koi fikar hai?
KYA is fikar me kabhi hamrai Raton ki ninden kharab hui hai?
Nahi , Nahi na?
to KYUN?
Aakhir aesa KYUN hai?
KYUN?
KYUN hum itne befiqre hai?
KYUN hum apni abdi zindagi barbaad karne per tule hai?
Aakhir KYUN?
Jis tarah hamare parents hamare guardian hame behtareen number lane ke kiye encourage karte hai KYA wo usi tarah hame apne FINAL RESULT ko shandaar banane ke liye nahi kahte?
Agar nahi kahte hai to KYUN nahi kahte?
Agar kahte hai to hum unki is baat ko ignore KYUN kar dete hai?
KYUN?
Aakhir KYUN?
Hamre parents aur hmare teacher ne jo mil ke hamari tarbiyat ki hai KYA usme koi kami hai?
Nahi na ?
Agar nahi to hame apne duniyawi results ke sath sath hame apni aakhirat ke FINAL RESULT ko bahut hi behtareen banane ki poori koshish karni chahiye..Insha Allah hamari mohabbat aur aqidat bargahe khudawandi me zarur poori hogi..Aur hum deen-o-duniya dono me kameyab ho jaenge . Insha Allah


Jazakallah
Thank You