...

8 views

Sayahi
Qalam hath mein hai.. Aur sochta houn k mein kaya houn?
kaya mein qalam houn ya phir qalam se likhtay likhtay kaghaz pr pheli sayahi?
Lafzoun k bech
girri parri sayahi!
phir qalam chorr krr
sir jhuka krr sota houn aur dekhta houn;
Mein asmaan pr houn aur zameen pr dekhta houn, phir dheray dheray sayah badloun mein kahein gum ho jata houn.
Sayah badal hein aur wo kehtay hein mujhay;
aey lafzoun k bech
girri parri sayahi
hm tere rang mein
sayah ho gae
Mein in sayah badloun se nikal kr zameen prr girr jata houn.Aur zameen mujhay nigal jati hai.Jesay.Jesay mein uski pasandeeda khurak!
Jano tu.
ye mera gher hai ab
zameen k teh mein
Ye andheray meray sathi
Mein khawb dekhta houn andheray mein;
Andheray ki sayahi bhar gae hai mujh mein.Ye zameen mein dafan hazaroun maazi ki kitabein.ye sayahi nigal gae unkay saray ilfaaz.Mein in hazaroun kitaboun ki zameen,aik chotay se girray nuqtay mein gum hai.jo sayah rang ka hai. lafzoun k bech.
phir mny ankh khooli
tu ye dor e jidat k log
dhond le ge mujay kaya
ye dar hai mujhay kaya
aik girray nuqtay mein!
dhond lein ge mujhay kaya?
ye lafzoun k bech
girri parri sayahi

© All Rights Reserved