...

6 views

The Story Of Failure To Success Writer ( JK. Rowling ) Part - 2
Uske pati ke alawa uska Portugal mein koi nhi tha bebas woh uss desh ko chod apni bacchi ko lekar wapis apne ghar aa gyi uska sab kuch bikhar gya uski naukri bhi chali gyi ab uske pass koi job bhi ni thi woh apni beti ki dekh bhaal karne ke liye sirf or sirf government unemployment benefits pe jee rhi thi yeh uski zindagi ka sabse mushkil daur tha woh itni gareeb thi ki rent pay karne ke liye bhi ussey apne doston se help leni padti thi woh khud bhukhi rehti thi taki apni beti ko khana khila sake inn sabhi paristhitiyon ke karan woh khudko ek complete failure manne lagi usse aisa lagta tha ki uski pareshaaniyaan kabhi khatam hi nhi hongi uske ander jeene ki koi umeed nhi thi iss wajah se usne suicide karne ki bhi koshish ki lekin uski beti ne usse inspire Kiya finally usne decide Kia ki wo wahi karegi jo woh sabse best karti hain usne fantasy novel likhne ka faisla kia jab bhi woh likhne ke liye apni desk pe baiththi wo sab kuch bhool jaati aur iss liye usne apne gham bhulane ke liye zyada se zyada likhna shuru kia jab bhi uski beti so jaati to boh aksar ek cafe mein jaake apni book pe kaam karti halanki woh cafe ka khaana afford nhi kar sakti thi isliye wo apni writing session ke dauraan sirf ek coffee order karti taki owner usse wahan se nikal na de aise hi kisi tarah usne apni novel ke pehle teen chapter likhe usney apni book ek publisher ko bheji par usne usse reject kar dia fir usne ek doosre publisher ko approach kia lekin usne bhi uss book ko reject kar dia uske mail box mein ek ke baad ek rejection letter bharte gye or iss wajah se uska confidence dagmagane lga lekin ek din Bloomsbury Publishing Company ke editor ne unki book ko padha editor ki 8 saal ki beti bhi wahan thi or ussey book ka opening chapter boht pasand aaya or woh poori book padhna chahti thi yeh dekh editor ne book ko publish karne ke liye haan kar di but publisher ne writer ko samjhaya ki woh ik full time job dhoondhna shuru kar de kyunki woh bacchon ke liye fantasy novel likh kar apna ghar nhi chla paayegi .
© adhoore khwab