...

10 views

dulaari beti..., part 1..
Hamare samaj me betiyo ko aaj bhi beto se kam ahmiyat di jati hai..
khaskar ganv ke logo me,
sahro me to aaj beto se aage betiya hai...
Isi liye vah ghar ki dulari hoti hai..
....but had se jyada beti ko lad pyar ,har khwahis minto me puri karna, koi kam na karne denaa....
sayad ma bap use... aalsi, kamchor, tamam kism ke nakhre karna aur ghamandi bana dete hai....
jo sadi ke bad sasural me ...iska side effects .... padta hai..
..mai beti ke khilaf nhi hu .but utna pyar de... jisse vah apne baivahik jivan ki presaniyo ko sah sake....

...Aisi hi ek story aap sab ke liye likh raha hu...
ek bap apni beti ko bahot lad pyar se pala posa...
uski har khwahis bachpan se puri karte aaye..
mahange kapde,
laptop, mobile, collage jane ke liye skuti.. shopping ke liye extra poket money..vagairah ..vagairah
.....but wo din aa gaya..
jab pita ko fikar hone lagi .
beti ke liye achha rista ,achha ladka mil jaye.. jo meri tarah ,beti ka khyal rakhe..
.. ek din wo achha rista bhi mil gaya..
pita ko,ma ko bahot khusi hui..
...Sadi ka date fix huwa sadi ho gayi..
Ladki sasural me pahuch gayi .
Ladki apni jindagi sadi se pahle jis
duniya me jiya...
Sadi ke bad ye duniya uske bilkul apposite thi..
Aur yahi se
sas se, sasur se, nand se, jethani se,dewar se ..khatpat,burai start ho jati h....
...aur ab mai next part me kuchh dilchasp likhunga with doilog script type ..ladki kitni paresaniya uthati hai..
Aur fir ekaek uske natur me changing aati hai..jisse vah susural me sab ki pyari ban jati hai.... ab next part me..