...

15 views

adhoora ishq
Main apne adhoore ishq ki puri kahani likh beithi thi, jo na likhna tha use bhi likh beithi thi. Pure do saal baad jo mulakaat hui thi, meri nigahein use dekh pehchan gai, par uski nigahein mjhhe bhul chuki thi. Jo mulakaat hui thi 2022 main january ka mahina 1 tarik ki dhimi si maddham si dhoop khili thi. Par ussi samye niche se maa ki aawaz aai thi. Uski nighaein mujh par aakar ruk gai, jeise mujhse wo kuch puchna chahti thi. Main uske saare sawalon ko nazarandaaz kar chali gai thi. Din beet gate raatein guzar gai,hafte bhi guzar gaye january mahine ki aakhiri taarik aai thi. February ka mahina shuru hi hua tha ke mere janmdin ki baat chali thi, 16 taarik thi jab uski yaadein use fir usi chat par lai thi. Main chat par ghumti rahi vo mujhe dekhta raha, kuch der beith gai aur uski nigahein mujhse baat karne ki shayad koshish kar rahi thi. Main uth khadi hui aur fir tehlne lagi, min nigahein usse milane se darne lagi thi. Kuch der baad jab maine himmat jutai, koshish kar usse nigahein milai thi. Usne jo kiya tha ishara mujhe main us waqt kuch smjh nahi pai thi. Vo baat ajab thi jo yeh sb baat mere saath hui thi. Main apne adhoore ishq ki puri kahani likh beithi thi, jo na likhna tha use bhi likh beithi thi.


Us din ke baad mujhe uska chehra fir march main dikha, 9 march ko vo bhi aya aur main bhi chat par gai thi. Nazarein mila na saki kyunki phone par baat ho rahi thi. Par chup ke se uska zikr doston se ho raha tha, vo utha ke nazar mujhe dekh rha raha tha, par main nazar jhukaaye bas usiki baat kar rahi thi. Kuch der baad dost ka phone bhi kat gaya, vo bhi aram karne andar chala gaya. Main use bhulane ke trike dhundh rahi thi. Ke itne main uski bhanji vahan par aai thi. Uske zariye baat to kari par baat ki shuruwat daat se hui thi. Fir dheere dheere baatein itni badh gai ke agle hafte usko mujhse milne ana hi padha, na jaane kyun uske chehre par khushi mujhse milne ki thi, usse milne ke baad na jaane kyun meri dhadkane bhi beithi thi. Baatein fir shuru hui aur phone no. tak chali gai thi. Main shayariyon ko khatam kar gazalon tak chali gai thi. Doston se baat shuru hui thi, aur mohobbat par khatam hui thi. Fir na jaane kyun mohobbat main rukavatein aai thi, do pyaar karne walon ko duniyaan satai thi. Dheere dheere baatein khatam ho gai thi, par mujhe usse bat karni thi kyunki usse baat kiye baggeir sanse nahi chal rahi thi. Lamhe jo saath bitayein the jo baat kari thi, par jo dusri baar usse batein kari vo mujhse nazar tha main ruthi thi, aur dhadkane bhi pareshan thi. Par baatein shuru hoti thi doobara to khatam bhi jaldi hoti thi. Kuch is tarah baatein afoori hoti thi. Bas yahi hai meri dastan, ke ishq to adhoora thapar uski kahani puri thi......
© कृष्ण ही ज़िंदगी है