...

19 views

hamari soch
kehne ko to hum modern hai.nayi peerhi hain par kahi na kahi hamari soch wahi purani hai. main aisa is liye bol rahi hu kio k jadatar hum kisi ko uske rang roop se ,uski appearance se judge karte hain .chahe us insaan ke ander kitni bhi khoobian kio na ho par firstly yahi dekhte hain k koi insaan dikhta kaisa hai. actually kal main yuhi you tube par kush dekh rahi thi. to ek video ko notice kio. kisi ki pre wedding video thi. muje payari lagi isiliye maine dekhna start kiya main randomly comment parh rahi thi to bahut hairaan hoyi adhe se jada logo ne larhki ke rang par tipni ki hui thi kio k larka handsome tha aur larhki ka rang saawla bus har kisi ne yahi judgement di payar rang nahi dekhta girl is so lucky. wagaira wagaira . her kisi ne bus yahi notice kiya chahe kehne ka tareeka alag tha . main kal se soch rahi hu k jab unohne comments dekhe honge jinki video thi kahi na kahi feel to jaror hua hoga . kya sirf gora rang,achi height aur khoobsoorat hona hi sab hai man ki sundarta ,apki achahi koi mayani nahi rakhte hum kio kisi is tarah se judge karte hain . aap sab kya sochte hain apke hisaab main insaan ki surat mayane rakhti hai ya seerat . mere hisab se to insaan man ka acha hona chaiye aap kya sochte ho
© heer