BEHAVIOR ✍
Hame apne andar ke child like innocent ko kabhi khtm nhi krna chaiye... jaise ek baccha kabhi logo ki kamiyaan nahi nikalta wo kbhi kisi ke bare me bura nhi sochta.. uski nazar me har koi accha rhta h wo har kisi se pyar karta..... hame apne andar ke us bachpan ko kabhi khtm nhi krna chaiye... God(Allah) ne hame itna accha gift diya h "GIFT OF LIFE" lekin yaha pr sawal ye uthta h ki is life ko hum jee kaise rahe h? Hum sabhi school 🏫jate h padhne ke liye exam hote h hum ratta mar ke papers📑 de dete h aur hum pass ho jate h... jub hum pass hote h Tu Hamare hath me hamaari marksheet thama di jati h aur us marksheet pr likha hua kuch number logo ko ye batata h ki hum padhe likhe h ya nahi... hamari family, Hamare relatives, khas kar hamare teachers sabhi humko us marks se judge kr lete h.. lekin asal me hamare pass knowledge h ya nhi h isse kisi ko matlb nhi rhta.. mera manna h ki koi bhi marksheet koi bhi certificate aaj tak aisa nhi bna h jo ek student ka knowledge bata sake.... kya kabhi Hamare mann me ye khyal aaya h ...hum such me educated h ya nahi? education me bus knowledge nhi hota.. education me ek aur cheez hoti h "DEVELOPMENT OF BEHAVIOR" jisse aage chal kr hum izzat ki zindagi jee sake, hum logo ki help kar sake.. hum dusron ke chehre ki muskurahat ban sake🙂 ... lekin hamare yha kya hota h jub ek baccha school se ghar aata h Tu uske parents ka sbse pahla sawal ye rahta h ki marks kitne aaye h? agar wo baccha khah deta h mai 2nd aaya hu tub bhi usko dant padti h ki ek baccha Tumse aage kaise nikal gya... yaha pe kya hota h wo baccha is soch ke sath bada hone lgta h ki bus mujhe hi aage badhna h "i don't care about anybody"....kya aisa nhi ho sakta jub ek baccha ghar pe aata h Tu kya hum usse phla sawal ye nhi poch sakte ki aaj Tumne kitne logo ki help ki h? aaj tumhari wajah se kiske chehre pr smile aayi h?...yaha pe wo baccha is thinking ke sath bada hoga ki logo ka khyal rakhna unki help karna jyada zaruri h... aur aisi soch rakhne wale ko life me success hone se koi nhi rok sakta.... tu hame apne behavior ko sbse best banana chaiye Qki hamara behavior hi batata h ki hum asal me hai kya.... 🙂