...

9 views

COVID - 19 (A STRANGE ERA)
COVID - 19 - A Strange era!

Kabhi socha na tha aise bhi din aayenge
Apno se milne ko ye dil taras jayenge
Vo manzar jo jiye apne yaaron ke sath
Vo band kamre me baith kar yaad ayenge

Ye raaste itne sunsaan toh naa the
Itne zaroori ye makaan toh na the
Ab zindagi beet rahi ghar ke bheetar
Sadko pe pehle maut ke elaan na the

Rashan ke liye bheed jama
Chaaro dishaon me yahi sama
Train me ab lagi gardi hai
Khoon paseena baha rahi vardi hai

Bahar nikalne se ab darr lagta hai
Kabhi kisi pe maut ke nishan na the
Tu naseeb vala hai jo bacha paa raha hai apna ghar
Un mazdooro se puch jiske paas makaan na the.

Kabhi kabhi khul rahe bazaar hai
Bhook se ab pareshan hazaar hai
Na suni kisiki, ghar lautna hai hume
Dikh rahi sadko pe lambi kagaar hai

Mandir masjid se toot chuki,
Ab saari ummeede insan se hai
Sambhal jao ab bhi waqt hai
Aye logo, ye zindagi ab dhalaan pe hai.

Mat maano ye rajnitiya, naam dekh ke mat karna bhalai
Is kathin waqt me Tu sabka hona
Chahe hindi muslim sikh ho ya isayi.

Aaj tak dete aaye tum usko dard hazaar
Kudrat ne toh bas aaj aaina dikhaya hai.
Chodh de saare gile shikve ab iss jahaan se
Sambhal parivaar ko dekh ye kaisa sankat aya hai

Jeet lenge is ladayi ko bhi
Hume bas ek sath aage badhna hai
Zyada umeede toh nahi bas ghar baithe desh ki madad karna hai.

Stay Sanitised - stay healthy
Together we can and we will win.