...

4 views

Bachna zaroori hai.
Jab eiman kamzor hota hai to log taweez gandon ke chakkar mein zyadah rahte hain.Hamare musallam eiman ka dawa karne wale musalmanon ko main jab raat din babaon, jhoothe peer faqeeron ke deron par jamghat lagaye huye dekhti hoon to sirf yahi dua nikalti hai dil se ki ya Allah Raham kar.In logon ke dilon se ye wahiyat qism ki khurafat ko dikal de.Ye log har sahi ghalat maqsad ke liye in taweezbazon ke aage yun gidgidate hain aur paise lutate hain jaise in logon ke hath mein khudayi ho.Ye chand tukdon pe bikne wale dhandhebaaz, chandebaaz khud ke liye dua mangne ki auqat nahin rakhte to doosron ke liye kya mangenge.Allah ne hamein Quran diya, Rasool diya,ahle bait diya,auliyaye karam se nawaza aur har daur mein duniya ko eiman walon se khali nahin chhoda to phir aur kya chahiye. Jo kuchh hai wo Quran mein hai.Allah Paak to dilon mein rahta hai.Sari makhlooq ki parwarish karta hai.Sab ke ranjo gham se waqif hai. Wo hamari shah e rag se bhi zyadah qareeb hai. Jo kahna hai usse kaho, Jo sunta hai sirf wahi sunta hai. Aur jo hota hai wo usi ki taraf se hota hai.Tumhare gande taweezon se uske nizam pe phoonk barabar bhi asar hone wala nahin.Hamare urooz pe bhi hamare eiman ki aazmayish hoti hai aur hamare zawal pe bhi.(Tasneem Fatma.)