...

6 views

SSR KE LIYE MERA KHWAAB
Sushant Singh Rajput
ek umda shakhsiyat
Mera ek khwaab tha k main kabhi Sushant se mil paaun
Aap logon me se kai log waqif honge k janaab Sushant Singh Sahab
URDU ke behtareen jaankar ke the,
ek raat main khwaab me soch raha tha ke kyun is naayab shakhsiyat ke guftagu
ka mauqa dhoondha jaaye....par khair ye na ho saka aur ab hona bhi mushkil hai
par khwaab ki wo mulaqat aur wo alfaaz abhi bhi mere zehan me ghum rahe hain
ab wo hamare darmiyaan nahi hain,
par unki muskarahat aur khush bayani hamare saath hamesha rahegi
zikr ye karna hai k jab maine aakhri tasweer dekhi to mujhe wo shakhs nazr aa raha tha jise maine khwaab me dekha tha,
is waqt uske honth khule the,daant bhi nazar aa rahe par muskarahat gaayab thi,
ab wo us khwaab ki tarah baaaten nahi nahi kar raha tha,khaamosh tha maano khamoshi
is duniyàan ke saare bojh dabaye huye thi ...
ye khaamoshi akhir kis liye ?
maine aapse mulaqat karni Sushant Sahab ? aap kyun gaye ?
waqt hi tha kay jaata ,kabhi dushwaaryaan kam zarur hoti ,
tum to yun chale gaye jaise bairaagi is dunya tyaag kar gaya ho-
gaye tum gaye ho kyun?