...

21 views

guru kon ho
humain hamesha sikhte rehna chahiye. kio k sikhne ki koi umar nahi hoti. humain har koi kush na kush sikhata hai. bas humain pta hona chahiye k humain kya adopt krna hai. for example ek chota bucha bhi hamara guru ho sakta hai. aap bologe bhala wo kaise. buche se hum khush rehna sikhte hai. agar hamare sath koi bucha ho to sab apni tension dukh bhool kr usse khelne lag jate hai. to socho ek bucha kitno ko hassi deta hai. aur kya sikhte hain hum jab usey chot lagti hai to wo thori der rota hai fir chot ko bhool kr khelne lag jata hai isitarah humain bhi apne dukh preshanio ko kas kr pakarne ki bajaye usey bhool kr aage barhna chahiye tabhi hum khush reh sakte hai. bucho main har bat ko jaane ki curiosity hoti hai . so wo humain creative bane ki seekh dete hain . ek shoti cheeti bhi humain mehnat karne aur har na maanne ki sekh deti hai . so hamare jiwan jo bhi isaan ata hai seekh deker jata hai ba humain seekhte rehna chahiye. so conclusion hr koi hamara guru aur teacher ho sakta hai bs humain apne garoor ko side main rakh kr hr insaan se sikhna chahiye chahe wo shota ho ja barha. guru purnima ke din kush post nahi kr payi socha aaj kr du so hamesha sikhte rahiye aur sikhate rahiye