...

11 views

Aashiq ya Kaafir
Puri zindagi ki fariyad se sayad qaafiron ko khuda naseeb ho skta hai. Uske bina qaafiron ko khuda milna to bas khuda ki marzi ho sakti hai. Pyar karne wale bhi qaafiron se hote hai bas yahi farq hai qaafir khuda ko mante nahi aur pyar karne walo k liye jo hai bas unki aashqui hi hai. Par iteefaq se dono k dastoor mustafa hai. Khair ye sab to hai hi aaj mein apse mere zindagi ki sabse badi seekh ko wakif karata hu . Beyhadd chahat ek samat hai apse kuch bhi karwa sakta hai ,apko khud se alag karwa sakta hai, apke rooh ko rula sakta hai aur na jaane kitne tareeko se apko maar sakta hai. Mere zindagi mein bhi ek aisi beintaah chahat hai aur wahi chahat ab meri tabahi ban chuki hai. Jiske liye mein duniya se ladna chahat hun wo kisi aur k liye duniya se lad rahi hai. Jisko apni kamyaabi maana uske liye kisi aur ka saath kaamyaabi hai. Jiske liye mere dil mein beintaah mohabbbat hai uska dil kisi aur k ishq mein dhadak raha hai. Bas hamesha afsos yahi rahega ki bina izhaar k mere mohabbat ka mukkadar tay ho gaya. Ab bas yahi khayal hai ek tarfa hi sahi mera mohaabat mukammal jaroor hoga chahe uske dil mein koi aur ho usse mohabbat hamesa rahega. Aashiq tha par ab kaafiron sa bhi ban gaya hun mein ab khuda se mulaqat to na ho paega par uske liye fariyad hamesa rahega.
© All Rights Reserved