...

9 views

Dharam kya hain?
Dharam shabd sunkar ,sab yeh soch main pad jaate ki woh dharam jisse main humne janam liya ,hindu, muslim, sikh ya christian ,har insaan ke dimaag main yeh jawaab aayegaa,par nahin !!

Dharam ka matlab sach ki raah par chalna aur hamesha woh karm karna jisse dusare ka nuksaan na hoon
aur aisa karm karna ,
jisse kal ko aap ka bhi nuksaan na hoon

udhisthar bhi dharam ka rakshak tha, par phir jawaa khela aur apni pati draupati ko jawaa main haraa

Sirf udishtar ke liye har waqt satya ka palan karne uska dharam tha ,par woh dharam ne usse paap karm karvaya aur Mahabharata ka yudh bhi karvaya

Tab krishna bhagwan ne kaha Ek jhoot se kisiki zindagi bachti hoon woh lakh sach se accha hain aur woh dharam hain.

Iisilye karm aise hoon jo dharam ke raaste pe chale naaki Adharm ke raaste par jisse kal ko apko sharminda aur pachtawa ho jaaye.

karan ke liye dharam tha Dosti nibhana, isilye usne dhriyondan ka galat karm main saath diya, aur sach ka saath chodd diya aur jhoot ka saath diya ,isilye bhagwan krishna ne kaha ,
sirf galat karna hi paap nahin hota galat ka saath dena bhi paap hota hain, Isilye karan ne adharm ka saath diya aur yudh main haar gaya

Bheeshpita jo apne vachan ko apna dharam maante the, har haal main vachan ko nibhana unka dharam tha, isilye chup chaap galat ko hote hue Dekhte rahe hain aur ek darshak bankar bhari sabha main main ek aurat aur baho ki izzat ko utarte hue Dekhte rahe isilye
aur yudh bhoomi unke liye shamshaan bhoomi ban gayi

Tab bhagwan krishna ne kaha ,jo insaan galat hote hue chupchaap dekhta rehta hain ,aur sach ka saath nahin deta aur ander hi ander sochta hain, mujhe kya? main kyu bura bano bolke woh bhi adharm karta hain

isilye dharam humare karm se juda hua hain, naaki jis dharam main hum paida hue
koi hindu kahemain Brahman hoon, toh pandit hone se jarori nahin ki aap bhagwan se bhi Jude hue hain,
usi tarah koi muslim yeh kahe ,islaam dharam ko maanewala imaan laata hain, imaan dharam ko manne se nahin, acche Karm se aata hain, kitne aatankwaadi islaam ko maante hain par insayinat aur acche karm ko nahin

Dharam ka sahi matlab insaniyat ki raah par chalna aur acche karm karna

Acche karm aur insaniyat hi insaan ka parm dharam hain, usse insaan ko pehchaan milti hain

Isilye humme yeh Sikh milti hain dharam woh hain jo aapki antaraatma aapse karne ko bole aur waise karm kare. jo insaan antaraatma ki awaaz sunkar karm karta hain, aur uski.aantar aatma insaniyat ko chunti hain, wohi uska asli dharam hain
🙏🏻🙏🏻

© Geetika Gupta