...

0 views

Bachpan
Humare jindegi me na kuch ese ache lambhe hote he jise hum kabhi bhul te nehi he.Usme me se jyadatar humare bachpan ke hote hen .kyuki bachpan ek esi chiz/yaade he jise hum kabhi na bhul sakte hen na hi kabhi dubara ji sakte he.Kitni pyari cheez he naa bachpan tab hamko na kuch malum tha na hi kis cheez ka bura lagta tha aur na hi hume kis cheez kaa ghamand hota tha sab aapne duniya met khoye rahate the .Bachpan kisi bhi insaan ka behatareen paal hota he.Bachpan ki wo saari yaade chahe wo dosto k saathkhelna ho ya choti choti baatope ladaijagde karna aur kitne saare sararate karna,
kabhi school se bunk marna aur kabhi recess k baad phal(fruits) chori karne jaana aur pakade jaane pe daantt khana aur gharbalo k isharo par naachna ,gana aur ajeeb harkaate karna yeh yaade kabhi nehi bhula ja sakta. Bachpan me hamre gharwalo ke saath masti k pal wo angan me raato ko mammi yaa mausi se story sunna ho yaa apne bhen bhai k saath laadai jhagde karna . kahaan he wo sab cheez gharpe yaar aabhi toh sirf kaam ki baate karte hen sab masti karo toh bhi daant padti he.Bachpan me ek jeed hoti thi humme ki wo kharidna he wo khana he wo cheez karna he ab aur kahan wo jeed abhi gharke jimedario
aur khudke thoda mature hone ka esa ek boj banchuka he ki abhi 10rupay magne tak ke sharm aate he.Bachpan ka wo school bala time kya moment tha yaar. usbaqt hume es chardibaro se chutkara pane ki talab hoti thi par ab pata chal raha he ki us chardibaro par uski heymiyat kya thi najane kitne yaad he uschardibaaro pe .Bachpan me hum apne khusi ke liye nachte gaate kya kucch nhi karte aur log hume bachpan me yeh kar woh kar bolte the humkarte bhi the aur wo log bhi khus hote the aur hum bhi .But pata nhi hum jab bade hojate hen hum apne life k khusi ke liye jo bhi karte hen log usme taaane marte hen yaato unka burai karte hen.Par kuch log he jinko bachpan k yaado ko khas banane ka moka nhi milta kisike bachpan ko pesokeliye bechdiya kartehen toh kisi ke bachpan ko padhai k boj me mitadiya karte .
toh kisko bachpaan hi naseeb nhi hoti gharke jimedario k liye wo gharsambhalne lagte hen.
Bas itna kehena he ki jiske saath aap comfort feel karena unke saamne apni bachpan bali harkat ko karte rehena chahiye isse aapko sakoon milega.
App jitna bhi paisa kamalo ,jitna bhi bada admi ban jao isse apko sakun nehi milega aapka sirf samaj me naam rahega apni bachpan bali harkato se aap khudko sukoon dilpaoge kyuki bachpan se hi toh jindegi ki surwat hoti he .so bachkanapan krte rehena.
© All Rights Reserved