...

15 views

Kaas Agar Aaj Hum Saath Hotey.


Kaas agar aaj hum saath hotey tou yuu hota,
Ki weekend ki us chutti par hum khub ladai kartey,
aur baad me ek hug se dono ek dusrey ki ladai khatam kartey,
Kass agar aaj hum saath hotey tou yuu hota,
Ki hum dono baith Kar ghanto batiyatey, kuch tum kehtey, kuch main kehti,
kavi tum meri suntey,
tou kavi main tumain niharti ghanto sunti,
fir bhi aisa lagta ki kuch second hi tou beeta hai,
fir teri bato me kho jaati,
kuch iss tarah beetta humara pal,
Kass agar aaj hum saath hotey,

Kass agar hum saath hotey tou yuu hota,
Ki main tumahrey bahon me sir rakhkar, tum Jo geet gungunatey usse dhyaan se sunti aur tumahrey bahon pe hi sou jaati,
kaas agar aaj hum saath hotey tou yuu hota.
Main coffee banati dono k liye, aur tum snacks k liye jid kartey, main Mana karti lekin tum apne nak sikurkar please kehtey aur ussi please ko main inkaar nahi Kar sakti aur tumhain snacks lekar deti kuch is tarah pal beetta humara, kaas agar aaj hum saath hotey tou yuu hota.

Par aaj tum nahi ho mere sath par tumharain diye Gaye yaad ko aaj bhi sanjoye baithee hu,
Par aaj tum nahi ho mere sath, sayad waqt ko bhi yehi manjoor tha,
Par aaj tum nahi ho mere sath, sayad kismat me bichadna likha tha,

Aaj hai tou sirf main aur Meri tanhai,
Aur yeh suna Ghar Jo katneko daurti.