...

59 views

SANAK... (part I)
SANAK...
Sanak ek junuun hai,
Ek anjaana sa sukun hai .

SANAK ek eshsaas hai Jo insaan bus maishus Kar sakta hai.
kahate hai ,
DIL SE ESHSAAS JAB DIMAAG ME UTAR AATE HAI , TO VO SANAK KAHALATE HAI.

ek asi hi sanak ka shikaar hone Wala tha koi.
Har kahani me kuch sacche kirdaar hote hai aur har kirdaar ka ek ateet, jis ateet me chupe hote hai Kai raaz.
Aur jab ateet ke panne wakt phir se vartmaan me le kar aata hai to insaan ka bhavisha khatre me pad jaata hai.
ye kahani hai ek ase hi Ghar ki jaha sub khus to dikhte hai par khoon ke rishtey hi khoon ke dushman hai, jaha apne ki apno ko barbaad karne ke liye chaale chalte hai, aur jab koi anjaan in raazo ko jaan jaae to barbaadi to hoti hi hai.

ek Ghar ,
. Adhiraaj khurana- bussiness man
. Sudha A. Khurana- wife of Adhiraaj
. Radhika Khurana- Adhiraaj ki beti
. Sumeer khurana- Adhiraaj ka beta
. Avinash Khurana- Adhiraaj ka Bhai
. Kavita Khurana- Avinash ki wife
. Rihaan Khurana- Avinash ka beta
. Sukriti Khurana- Avinash aur
Adhiraaj ki behan.
. Jogi - ghar ka wafadaar naukar
. Kabir roy- manger of the company
.Diya kundra- family Dr.


kahani ke 11 kirdaar, 6 gunhegaar par kimaat kitno ko chukani padegi ye to WAKT hi bataega.

25th march, subha - subha Adhiraaj ki ek bahut Badi meeting thi par uske documents aske manager KABIR ke pass the. Kabir papers le kar Ghar se neekal chuka tha. usne short cut ke liye highway ka raasta chuna. Kabir gaadi tez hi chala raha the ki tabhi usne achanak break mara, dekha ek aadmi sarak ke kinaare gira hua hai. Vo gadi se utra, uski nus check ki, saase chal rahi thi. "ye to behosh hai.shayad Pani se hosh me aajae.mai Pani le kar aata hu"
itna bolte hi Kabir Pani lene ke liye peeche gadi ki taraf muda tousne dekha, uski gadi par ke aadmi baetha hai aur 10- 12 log aur formal dresses me hatho me guns uspar point kiye khade hai.
usne darti hui aawaz me pucha" Kon ho tum"?
" ARJUN MALHOTRA "
- mujhse Kya chahte ho?Kabir ne pucha.
tumhari jaan!
- kya? kyu?Maine Kya kiya.nai to tumhe jaanta bhi nahi aur tum..

itna bolte hue hi use Maine, Arjun Malhotra me goli maardi. Ha ye such hai ki Kabir ne Mera kuch nahi bigaada tha par iski galti to thi. Vo Adhiraaj ke har shai har galat kaam me uski Puri madad karta tha aur wase bhi Maine kaha tha ki gunhegaar to 6 hai par kimaat kitno ko chukani padhe gi ye to WAKT hi jaanta hai.

Adhiraaj phone par phone Kar raha rha ki tabhi Avinash ke usse kaha-
" bhiya tv on kijiye. tv par dikha rahe hai ki kissi ne Kabir ko goli mar gi hai"
what?par kase aur kyu?
Adhiraaj , Avinash aur Sumeer us highway par gai, police dead body le kar jaa chuki thi.
" khojo. Un documents ko khojo sumeer.jo bahut zaruuri hai"Adhiraaj me kaha. Kafi time Tak papers khojne ke baad bhi kissi ko vo papers nahi mile.
"koi yaha in documents ke liye aaya tha.kabir ki jaan to bus ek bahana tha. ye jissne bhi Kiya hai usse ye baat pata thi ki in papers ki kimaat mere liye Kya thi. mere croro ka nuksaan karke Mai use jaane nahi dunga. "
- Aap chinta mat kijiye dad. ek baar uska pata chal jaae bus phir dekhiye ki Mai Kya karta hu uske sath. Sumeer be Adhiraaj se kaha.
Tabhi sumeer ke phone me ek vedio aaya jissme ek aadmi unhi documents ko ek ek Kar ke Jala raha tha.
ise dekh Kar sumeer, Adhiraaj aur Avinash teeno ka khon khol gaya.
sumeer me apne aadmiyo ko pata lagane to kaha ki pata lagao ki ye vedio kaha se aaya hai.

(2 Din Baad)

Avinash ne Adhiraaj se kaha ki, "Bhaiya,Kabir ke baad ab humari company ko ek nai manager ki zarurat hai.ek ase insaan ki Jo humnare raaz ko raaz hi rakh sake."
tum sahi bol rahe ho Kar asa insaan Jo humari marzi se hi apna muh khole asa insaan itni jaldi kaha milega?

ek hai Bhaiya, Jo mar jaaega par apna muh nahi kholega.
Kon? Adhiraaj me pucha.
andar aa jaao, Avinash ne kaha.

"may I come in sir!."
- hm.aa jaao,. Adhiraaj ne bola.

" my self Arjun Malhotra"
- Avinash ne tumhe kaam samjhadiya hai to abhi se kaam par lag jaao aur ha paiso ki chinta mat karna. Mera har wafadaar kutta bhi croro me khelta hai."
Dil to kiya usse vahi mardu par itni aasaan maut kase!
ji sir, bol Kar Mai waha se Chala gaya.
jiss bhai poar Adhiraaj itna bharosa karta hai vo Bhai ki uski kabra khod raha tha.
Avinash ko lag raha tha ki Adhiraaj ko Marne le liye usne mujhe kharida hai aur me usse wafa daari hibhaunga par anjaan tha vo is baat se ki number to uska bhi lagega, bahut jald!

Avinash ne mujhe iShare se bulaya.
- good morning sir!

hm. ye batao ki kissi ne tumhe dekha to nahi? Adhiraaj ko agar humare is plan ke baaare me kuch bhi pata Chala to...
Come on dad! aap unse itna darte kyu ho.
- ye Kon hai sir?

ye Meri jaan, Mera beta, RIHAAN hai. jiske liye maine ye sub karne ka soocha hai. Adhiraaj duniya ke saamne dikhata hai ki hum ek parivaar ki tarah hai par Puri company uske naam par hai. Mere naam par to kuch bhi nahi hai aur use baad company uske baccho ko mil jaaegi. mere bete ka Kya? na mujhe kuch Mila na mere bete ko. Avinash ne mujhse kaha.

-Aap chinta mat kijiye sir, ab Mai subko ek asi neeind me sula dunga ki koi uth nahi paaega kabhi bhi.
( Avinash aur rihaan husne lagte hai)
par pata nahi tha unhe ki is ghahari neeind ke hackdaar to vo Dino bhi hai.

sooch raha tha ki pheli saza kisse du?

KAHATE HAI KI KOI AGAR BURA KAAM KARTA HAI TO USSE SAZA KHUD BHAGVAN DETE HAI PAR MERI SANAK NE MUJHE IS BAAT KI IZAZAT NAHI DI KI MAI BHAGWAN KE FAISLE KA INTEZAAR KARU ISLIYE ME SAZA DENE KHUD AAGAYA.

mujhe is Ghar me lane me Meri madad Avinash ne ki thi to phele return thank you bhi to usko banta hai, to phele AVINASH MALHOTRA hi baari......
darasal Avinash ke bete me Meri Zindagi to mujhe chin liya tha aur uske baap ne usse saza bhi nahi hone di, paise de Kar police ko chup Kara diya to kyu na ab uska khel uske sath ho jaae. Avinash ko Mai nahi karunga Adhiraaj maarega bus dimaag Mera hoga isbaar.

agli subha Adhiraaj ko ek call aaya.
- hello!
sir Meri baat dhyaan se suniye. mujhe marte marte aap me bachaya tha ek baar tab se Mai aapko hi apna bhagwan maanta hu. Sir aap ki jaan khatare me hai. aap ka Bhai hi aap ki maarna chahta hai property ke liye. aap ke manager ko bhi ussi me marwaya tha. Mai jhut nahi bolraha sir,eri baat par yakiin kariye. aap chaye to Avinash ke pass se ya kamare se aap ko vo real documents bhi mil jaaenge.

itne ke baad call cut. adhiraaj me call back Kiya par call to phone switch off tha.
Adhiraaj ne apne bete ko bulaya aur sari baate batai.
- Aap chinta mat kijiye dad agar chacha ki ne asa kuch bhi Kiya hai to vo bachenge nahi.
Adhiraaj ne mujhe bulaya.
- ji sir!
tumhe salary Kon deta hai?
- aap. Maine kaha
to tum yaha hui koi bhi baat Avinash ko nahi bataoge.
- ji sir .
pata lagao ki Kabir ko kisne Mara aur mere documents Avinash ke pass se milte hai ya nahi.
Agle din 8.00 subhe,
office me Mai, Adhiraaj aur sumeer the.

- aap sahi the sir. ye sub Avinash sir ne Kiya hai. Kabir ko mara bhi ek serial killer be hai jissme account me Avinash sir ne 20lakh transfer kiye the.
aur dusri subse zaruuri baar aap ke documents mujhe unki hi office cabin me secret space Jo photo frame ke peeche hai usme se mile. par sir aap ko Jo call aya tha us aagmi ka pata nahi Chala. Mai apni Puri koshis Kar raha hu.

uski koi zarurat nahi hai. Itne sabut kafi hai Avinash ki barbaadi ke kiye.
hum sub Ghar gae .

Avinash! Adhiraajne zoor se chilaya.
Pura Ghar neeche Kar hall me aa gaya.
sudha, radhika, rihaan, Avinash,aur Baki sub use pich rahe the ki Kya hua?
par Adhiraaj ne kuch nahi bola.
15 minutes ke baad police Ghar me aai. Avinash aur rihaan ke chere par darr saaf dikh raha tha vo dono baar baar mujhe aakho se ishara Kar ke Puch rahe the ki Kya hua.

police ne Avinash ke hatho me hatkadi lagai. Kavita, Avinash ki patni ro rahi thi aur puche jaa rahi thi Kya hua?
Avinash bhi kuch samaj nahi paa raha tha.

Sumeer me bola ,- " Mai batata hu. Ye insaan kaatil hai Kabir ka.isne documents ke paper paane ke liye usse maar Diya. Sabut ke taur par ye papers Hume iske office cabin me mile hai aur Kabir ko maarne ke liye isne iske account se usi din 20lakh transfer kiye the jis din Kabir Mara tha.ye amount usko maarne ki kimat thi."

Kavita Jo ab tak Avinash ko Gale laga Kar roo rahi thi ab usse dur use shake bhari nazaro se dekh rahi thi.
Avinash chillata raha par Adhiraaj ka ek ishara aur police use le gai.
Adhiraaj ne police to 10lakh rs diye the Zindagi bhar use jail me hi rakhne ke.

agla din mujhe akele dekhar rihaan gusse se Meri taraf aaya. Meri shirt ka collar pakar Kar bola-,
"ye sub tune Kiya hai hai. Bol Kya chahta hai tu?"
- ye sub agar Maine Kiya hota to aaj tu yaha nahi hota.Ye sub us sumeer me kia hai. Aur apna muh band rakho warna hum tumhare baaap ko jail se nahi laa paange. Dhere - dhere Hume Adhiraaj aur sumeer ko khatam karna hoga tabhi hum Avinash sir ki jail se baahar laa sakte hai. Maine rihaan se bola-.
"Uski koi zarurat nahi hai. Pade rahane do usko jail me. Mujhe unki koi zarurat nahi hai filhaal Mai sub akele hi sambhal lunga."
(iske baad rihaan waha se Chala gaya)


Ek ko to saza mil chuki thi. Ab baari thi dusre ki, Adhiraaj ke best friend, DEEP BAJAJ ki. Use marna aasan nahi hone Wala tha. use yaha bulane ki liye kuch bada karne ki zarurat thi tabhi vo France se India aata. Jaan basti thi Adhiraaj ki deep me aur deep bhi Adhiraaj ko apne Bhai se Kam nahi maanta tha. Duriya raasto ki thi dillo nahi. ek dusre ki Zindagi me Kya ho raha hai ye dono hi jaante the.

(7 DAYS LATER...)

Adhiraaj aur Mai Ghar se office jaa rahe the. driver ne gaadi roki.
- Kya hua?
sir, vo pata nahi car kyu rukh hai.mai check karta hu.
thodi see ke baad usne bola- sir, petrol ki pipe me cut tha. car nahi chal paae gi. Adhiraaj aur Mai car se uthar gai Mai dursi car ka intezaam Kar rahe the ki tabhi bike par 2 log muh dhak kar aae aur goli Adhiraaj ke taraf point ki.
sub kuch itni jaldi hua ki Adhiraaj ko kuch samaj nahi aaya.
Goli bhi chali,
goli lagi bhi,
khun bhi baha,
par,
Goli mujhe lagi.mai Adhiraaj ke aage aagaya. Uske baad Meri aankh khuli to Mai hospital me tha.
"Chinta mat karo kuch nahi hua hai goli bus chuu Kar nikali hai." - Dr. me kaha. he wahi thi, Adhiraaj ki family Dr. ,. Dr. DiYA.
Diya ke bhi Kai aaeshan hai mujhe par .wakt aane par chukana tha mujhe. par abhi Diya ki maut nahi aai.

" thank you" Adhiraaj ne mujhse kaha.
it's my duty sir! I replied.

(Vo log bhi mere the. vo plan bhi Mera tha. us din dard hua par us dard ki kimmat me mujhe Adhiraaj ka BHAROSA Mila.
DUSRO KO DIA BHAROSA HI INSAAN KI KAMZORI BANTA HAI AUR KAMZOR INSAAN KUCH NAHI KAR PATA)

Iss hadse ke baad DEEP BAJAJ France se seedha India as gaya, vo kahate hai na MAUT APNA RASTA DHUND HI LETI HAI.

Deep Bajaj, Adhiraaj ki tarah hi ek ghatiya insaan jiske girne ki koi hadh hi nahi.
(sham ko deep Adhiraaj ke Ghar as chuka tha aur Adhiraaj ne usko abtak ki saari baate Bata chuka tha)
-" Ye khel itna bhi seedha nahi hai Adhiraaj, jitna tum samaj rahe ho"

mtlb Kya hai tumhara Deep?- Adhiraaj ne pucha.

Zara soocho ki vo tumhari jaan bacha raha hai vo chup kyu raha hai. Usse to saamne aana chaiye, usse inaam hi milega maut nahi phir vo saamne ktu nahi aa raha? Aur dusri baat tumhari is manager ne Avinash ke baare me sub kuch pata laga liya to us insaan ke baare me kyu nahi?
kahi tumhi to....
(Adhiraaj usse rokte hue.)

nahi Deep isne goli kha Kar Meri jaan bachai hai.ye asa kyu karega.

Thik hai par, kher choro ab Mai aa gaya hu tumhe ab koi kuch nahi Kar sakta. Deep me bola- ..

( Adhiraaj ki jaan bachane ke baad Adhiraaj mere upar bharosa bhi Pura karta tha aur ab mujhe uske Ghar me aane - jaane ki permission thi, par, Deep ko mujh par shak tha)

to be continued....


( COMMENT THAT HOW'S THE STORY! )


© nikhil