...

5 views

COURT
QASAM, BHAROSA, OR VAADE
ye mohabbat ki kitaab ki vo syahi hai jisko baato ki qalam mai bhar kar mohabbat ki kitaab ko bharte jaate hai. Phir jab syahi ke khatam hone ka waqt aata hai, or lafzo ko likhane mai saksham nahi rehti, tab us waqt us hazaro panne wali kitaab ke aakhri panne mai ye likh kar band kar dete hai k
"HANG TILL DEATH" or kisi mujrim ko mot ki saza sunate hue judge ki tarah us qalam ko tod dete hai.
kyu log ye nahi samjh paate ke agr syahi qalam ko chhod deti hai to uska matlab ye nahi hota ke qalam asamarth ho gae, vo to bas apne andar ki saari syahi ko nikaal kar, nai syahi, nai baate, vaade, bharose ko likhna chahti hai.
Ye pyaar hai koe supreme ya high court ki sunwae nahi jaha masoom mohabbat ko mujrim bana kar waqiil apni daliile rakhte hai.
Mohabbat hai mere dosto, wo ek maa ki tarah hoti hai janm bhi deti hai or karm bhi, ab ye us par nirbhar karta hai ke wo apne janm or karnm ko safal banae ya vifal.
© Musannif Qalam