...

23 views

Ahsaas ki rawani hai qalam ki kahani.
Kabhi kabhi hum sochte hain ki chalo kahani likhi jaye to alfaz aur jazbaat ek nahin ho pate, lakh koshishon ke bawajood aur kabhi kabhi jazbaat aur khayalaat ki aisi Tsunami aati hai ki zabaan se alfaz ki jhardhi phootne lagti hai aur qalam rukni ka naam nahin leti chahe duniya ka koi aur kaam bhale hi ruk jaye. Sachmuch writing skill God gifted hoti hai, natural hoti hai, fearless hoti hai.Jab hamare andar aur bahar ke halat hamein khoob achchi tarah samajh mein aane lagte hain to kayi dinon, kayi ghanton ya sirf kuchh lamhon ke baad hi wo filtered hokar ek khoobsoorat shakl lekar hamare zehan ko jhakjhorhdne lagte hain aur hum us shakl ko alfaaz ki soorat mein kaghaz par utaar dete hain.Bas yahi to hoti hai writing.Ek feeling, ek jazba, ek ahsas aur iske alawa kuchh bhi nahin.(TASNEEM FATMA.)