...

3 views

Chahna aur milna.. 😇
Kabhi kabhi dil ye sochne ko majbur ho jata h, hum jis chij ko chahe wo n Mile to usme humari bhalai h ya nai.
Kisi ne kaha ki agar aap kisi chij ko chaho aur wo mil jae to achcha. Aur wo chij na mile to aur bhi achcha. Ye baatein kisi ne khud ko santosh dilane k liye likhi thi ya wo insaan bahut jyada hi optimistic tha. Khair wo jo kuch bhi tha pr ye saari baatein vastavikta k dharatal pr khari ni utarti.
Hum sabhi sadharan insaan hai. Hum jo chahte hai wo mil jaen to achcha hota hai aur wo na mile to taklif hoti hai, bahut hi taklif.. Khaskr tab jab usko badle aapse koi kaam liya gya ho. Aapko kisi kaam k liye majbur kiya gya ho. Waise to aap kahenge ki jab tak insaan ki ichcha na ho tab tak usse koi jabardashti koi kaam ni kara sakta. Par kuch chijen humari daayron se bahar hoti hai. Unpar humara bus nahi hota. Isko samajhne k liye aap k saath ye hona jaruri hai..
Khair mai kisi chij ko aapk saath ghatit hone k liye mana ni rahi bus sachchai bata rahi hun ki jo hai so ab yahi hai...
© Anky