Part- 4 "Faaslon se ishq mit ta nahi"..... Daksh and Dimple- a destined love saga
"Bewajah to nahi milti hain roohein
Bewajah kahan the wo faasle
Dil par to dono ke janam janam se
Likha tha ek duje ka naam
Milna to tha hi unhe ek dooje ke waaste..."
Dimple's POV:-
Daksh kaha usne khudko. Arre uske jese ladke ka naam Daksh hona hi nahi chahiye. Mere Daksh se kahin kuch nahi milta uss nalaayak, nakchide ka. Ek Daksh tha jisne chhoti Dimple ka kabhi itna dhyan rakha tha, aur ek ye hai nakchida.
Daksh ki bahut yaad aa rahi thi uss din. Wo boarding school me padhta tha jahan meri jaan bahut saal pehle teacher thi. Jaan ko wahin rehna padta tha aur mujhe med maamoo ke ghar par chhoda gaya tha. Fir ek baar meri tabiyat bahut kharab thi to jaan mujhe apne paas le gayi. Wahan pehli baar mila tha mujhe mera daksh. Me tab 6th class me thi, aur wo 9th me. Sixth class ka pehla din tha. Jaan mujhe class me betha kar chali gayin. Koi baat nahi karna chahta tha mujhse, koi dost nahi banana chahta tha, mid-session me jo aayi thi me.
Fir recess hui par koi mujhe saath khilaana bhi nahi chahta tha. Me kone me bethi thi, tabhi class ke chaar ladke aaye aur mera tiffin chheen liya unhone. Mene unse kaha me tumhari shikayat kar doongi. Unme se ek ne kaha, ae tu meenakshi madam ki beti hai na. Kisse shikayat karegi, tere baap se. Doosre ne kaha, Arre iska to baap hi nahi hai, bol na hai kya tera baap. Teesre ne kaha, Arre baap to tha par aesi beti ko dekhke bechara inn dono ko chhod ke bhaag gaya. Acha kiya usne.
Itna royi me uss din ki ab bhi yaad hai mujhe.
Tabhi mujhe ek aawaaz sunayi di, Ae door raho usse.
Ek ladka aaya aur usne unme se ek ko collar se pakad ke jor se hila diya. Usne kaha, sorry bol, sorry bol warna aaj teri dono taange tod doonga.
Chaaro ladke usko dekh kar kaanp rahe the, bhai maaf kar de, aage se nahi karenge, hame nahi pata tha ye teri kuch lagti hai. Sorry Dimple, please maaf kar do.
Uss ladke ne kaha dafa ho jaao ab yahan se. Fir usne apna haath meri taraf badhaya, mene pehli baar parivar se alag kisi ka haath thaama tha.
Usne mujhe uthaya aur kaha, meenu maa to bahut bahadur hain aur ek tum ho fisaddi. Me Daksh, Daksh Oberoi. Aaj se me tumhara dost, ok.
Matlab mujhse to pucha bhi nahi ki dosti karni bhi...