...

8 views

dulaari beti..part 3
halo guide..
dulari beti me aage..
...rubee ki sas ko is bat ka afsos tha..
chhoti itni padhi likhi lagti hai, aur achhe mahaul me pali hai .
koi to aisi khubi hogi jisme mahir ho..
agar alsi nakara nikli to mere bete ka futur kaisa hoga..
ab vah har chij me parakhne lagi meri nayi bahu kitni kabil hai..
usne diside kiya rat ka khana chhoti bahu banaye....
sas ne apne badi bahu ko bola....
...aaj rat ka khana tum nhi banaogi.
aaj chhoti bahu banayegi...
jethani thoda saham kar boli... ammi abhi to yaha wo nayi hai..
rasoyi me kaise khud ko arjest karegi..

sas unchi awaj me boli. ) tum mujhe samjhaogi tumhari himmat kaise hui..
...chhoti bahu ko rasoyi me bulakar sab samjha do , aaj kya kya banana hai .
sara saman dikha do..
aur ha uski madat karne ki kosis mat karna aur time pe khana banna chahiye.
samjhi ki nhi..
jathani..hadbadakar boli..) ha ha ammi ji..
jethani soch rahi thi ab dewrani ki khair nhi..
lagta hai mehandi utarne se pahle hi yha se bhagne wali hai..

ye bat rubee yani chhoti bahu ko malum pad gayi...
use bahot gussa aa raha tha.
budhiya ghusat to mere pichhe pad gayi hai, ab kya karu mai.
upar vala hi meri madat karegaa..
maine kabhi khana banaya nhi..
meri bhabhi hi banati thi..
mujhe to ghar wale kuchh karne ko bolte hi nhi.
kitni achhi life thi vaha...
..pati tab tak aa gaya ..
kya soch rahi ho bahot paresan ho ..
kya bat hai..

rubee...nhi kuchh nhi.
bas ghar ka yad aa gaya.
...
rat me jethani aayi.. rubee ko rasoyi me le gayi..
pura details me samjha diya...kya banega..aata, chawal ,masala.dal sab dikha diya...
...rubee ka mud off tha...
rubee boli.. .kitne logo ka khana banana h...
jethani boli... 3 mard ,4 aurat aur 2 bachhe hai...
..rubee boli... aap meri help nhi karogi..
jethani...nhi sasu ma ka sakht manayi..
....ha fir bhi sabji mai kat deti hu..
kisi ko bolna mat...qki khana banane ka sara credit tumhe pana hai ..
...rubee ne start kiya ..
usne chawal ko gila kar diya kitna chawal me kitna pani karu koi experience nhi tha...
.... aata ghuthne me uski halat kharab ho gayi..
kabhi gila aata kar deti to kabhi sukha aata dal kar kadak kar deti...
use samjh me nhi aa raha tha parfect kaise guthu...
...usne rotiya banayi to tedi medhi,jali kati..
jo bhi banaya kuchh sahi nhi tha..
sab ka talmel kharab tha..
na michi, na namak, na masala.
...rubee ki halat kharab thi..aaj aur bejjat honi hai ...
abhi kuchh din sadi ke huye hai...
...sab chay ki vajah se ho raha hai..
...sas ne beti ko aawaj diya ...jakar dekh khana ho gaya...
rubee awaj sunkar chauk gayi..
uska dil bahot teji se dhadak raha tha ab kya aage hone wala hai...
... rubee apni nand ko boli...
ha khana ready hai..
ye bat bolkar apne kamre me chali gayi.. aur earfone kan me dalkar gane sunne lagi...taki tensan ka presar kam ho jaye....
.. khana sab ne khaya thoda bahot par gussa ..
par gussa sabse jyda..pati aur sas ko tha...
sasur ne sabko samjha diya,,, jo bhi chhoti bahu ko bolna hai subah bolo..
rat me sabko sona hai..nind haram nhi karni hai .
.darwaje ki khulne ki awaj se rubee ghabra gayi... pati ko dekhkar khamos thi...pata nhi kya bolenge..
par ha pati ki aankho me gussa bahot tha...
aap khana khaye..rubee boli..
pati....ha kha liya
tum nhi khayi..jao kha lo
..rubee...dar kar boli...mujhe malum hai ,
pati...kyaaa malum h
rubee...khana sahi nhi bana tha...
pati....tumne kabhi sikha hi nhi to kaise banana aayegaa....
mujhe sab ke samne sarminda hona pada...
tumhe sarm aani chahiye..apni galti par
...rubee... wo to hu mai.
par itna kya jaldi tha ye sab karane ki.
mujhse isi liye byah kiya gaya...
pati ko gussa aaya...
ek thappad de diya...
chup karo nhi to abhi hangama karunga ...tumhari nind haram kar dunga...
ma ko malum karna tha tumhare me kitna hunar hai..
use chay ke wakt se hi sak ho gaya tha..
....
rubee ..boli...
to ye mera intahan tha.. meri bejjat karni thi aur kuchh nhi..
yaha sab mujhse jalte hai...
mere aane se kisi ko koi khusi nhi hui hai...
pati ...tumhari sab yaha aarti utare ...qki tum itni kabil ho...
tumhari sirf juban chalti hai..
hamari tumhari nhi ban sakti hai.....
ab mujhe sone do plssss
......
sabah hui ...
logo ne breakfast kiya....
kuchh der bad sas ne chhoti bahu ko talab kiya...
...Sass gusse me boli). mujhe tumse koi sikayat nhi h...
mujhe tumhare bap se bat karni hai..
kya samjhkar yaha sadi kaya.
kya ham aire gaire hai..
hame dahej ka lalach dekar..
hamare bete ke gale me musibat ki ghanti tang diya..
use aur kahi rista nhi mila...

sasur....sant ho jao samdhi ko fone karo aaj hi ..
abhi jyda gadha khet nhi khaya hai...
....rubee se raha nhi gaya ..
bol padi....aap sab ko jo bhi bolna hai saf saf bolo....
ha mai apne ghar me koi grihasti nhi sikha...usi ka natija hai jo mujhse mistak hui hai...
uske liye mafi chahti hu..sarminda hu..
...sas chidhkar boli...tumhari mafi ka ham achar dalenge...
ab mafi to tere bap ko mangni padegi..
yaha aakar...dhokebaj kahi ka..
rubee samjh gayi ab bolna thik nhi hai.
meri bejjat hi hogi
..wo chakkar aane ka natak karke gir gayi...
....sass ...boli..
lo ye ek aur bimari hai ya nautanki..
le jao ise iske kamre me...
mere ghar me panauti aa gayi hai...
...
ye bat dhire dhire pure ganv me fail gayi...
log kana fusi karne lage...
iski bahu aisi hai vaisi hai..
sas ka pair nahi dabati hai
ghamandi hai..bade bap ki beti hai
subah der se uthti hai..kuchh malum nhi vaigairah vagairah...
....ab wo din aa gaya....
jab rubee ke pita ghar aa gaye...
sara mahaul ghar ka fikaaa tha..
use aahat mil gayi kuchhh to gadbad hai......
....ab aage next part me milte hai..








...