...

5 views

Part-10.b.... Dinner Date... Daksh and Dimple-a destined love saga
Her mobile fell off her hands. She was already dead scared because of this weird room and his loud voice made her more scared.

Daksh picks up her mobile, holds her hand and brings her out of that room. He locked the room and kept the keys in his pocket. He brought her to his room.


Daksh:- Tum uss room me kyun gayi thi. Mene tumse kaha tha na ki yahin rehna.

Dimple:- Ww... Ww... Wo I am sorry.


Daksh could see that she was still scared. He hugged her tightly.

Daksh:- Tum itna kyun darr rahi ho. Me yahin to hoon. Aur sirf andhera hi to tha wahan. Calm down. Dobara wahan mat jaana. Ok.

Dimple:- Par wo room kiska hai aur sab kuch covered kyun tha wahaan. Agar koi problem hai to tum mujhse share kar sakte ho Daksh. We can solve it together.

Daksh kissed her forehead and said,

Daksh:- Batana to bahut kuch hai. Par abhi nahi. Jab sahi waqt hoga tab bata doonga. Tumhe mujhpar yakeen hai na.

Dimple:- Khudse bhi zyada yakeen hai. Acha chhodo ye sab. Tum kya lene gaye the?

Daksh:- Ye paayal (he shows her a pair of anklets he bought for her while on his way to her home)

Dimple:- Wow, bahut sundar hai. Umm par... par me ye nahi le sakti hoon Daksh.

Daksh:- Kyun nahi le sakti ho.

Dimple:- Ummm kyunki ek to ye costly hai. Doosra ye ki me tumhaare liye kuch nahi laayi.Me ye nahi le sakti hoon.

Daksh:- Yaar tum fir se shuru mat ho jaao. Ye mera tera kya hota hai. Mera sab kuch tumhara hi hai.

Dimple:- Na. Tumne sab kuch apni mehnat se earn kiya hai. Jo tumhara hai wo tumhara hi hai, mera nahi.

Daksh:- To iska matlab jo tumhara hai uspar mera bhi koi right nahi hai.

Dimple:- Nahi to. Jo mera hai, wo sab tumhara bhi hai.

Daksh:- Ye konsa logic hua.

Dimple:- Ye mera logic hai. No behas on this topic. Agar hamari shaadi hui to tum mujhe gifts de sakte ho. Me bilkul mana nahi karungi.

Daksh:- (rolling his eyes at her) Tumhe ab bhi doubt hai ki hamari shadi hogi ya nahi.

Dimple:- Iss baat par mujhe koi doubt nahi hai. Par mene kaha na me waqt me aage nahi dekh sakti hoon. We should hope for the best but be prepared for the worst.

Daksh:- Pata nahi mom ne tumhare paida hone se pehle kya galat khaa liya tha jo tum aesi baatein karti ho. Acha maan leta hoon. Ye tumhaari paayal mere paas rahegi. Aur shadi ke baad tumhare ye faaltu logic me nahi sununga, abhi se bata raha hoon.

Dimple:- Ok, deal done.

"Wese to sach hi kaha Daksh ne. Pyaar me tera-mera nahi hota. Wahan to sab kuch saajha hota hai. Par jisse sach me pyaar ho, wahan use khushi me to saajhedaar bana sakte hain magar dard me use saajhedaar kese banayen. Jiski muskuraahat ki duaayen maangi hon, bhala use aansuon me saajhedaar kese banayen...... "


"Kuch aesa hai dil ka dil se naata
Kaanton ko rakh loon aanchal apne me
Foolon se bhar doon raah teri
Maano jee raha hai tu sapne me
Ghamon ko chhupa kar aankhon me apni
Teri hansi se tujhko mila doon me
Zahar ko kanth me rakh kar apne
Amrit bas tujhko pila doon me
Bas khushiyaan hi gheren har aur se tujhko
Aesa koi vyuh bana doon me"


#DakshDimple


© Gauri_68