...

3 views

A Real Horror Experience!☠️🎃
Disclaimer : Jo ghatna mai neeche likh rahi hu, vah ek satya ghatna hai, jo ki mere nanihal mein kaafi saalo pehle ghati thi, isme kisi prakar ka koi dawa nahi kiya gaya hai ki bhoot hote hai, yah bas kuch anubhav hai jo kisi ke saath ghate the, aage manna ya na manna, apke upar hai.
Mai bas itna kahungi ki hawa hai, to bhoot bhi hai, dono hi dikhayi nahi dete!

Jab bhi hum, aisa koi title padhte hai 'ek sachi bhootiya ghatna' mann me ye sawal zaroor ata hoga n, ki sach hai ya bas bacho ko darane ki ek koshish!
So, let's start :-

Baat aaj se kareeb 30-35 saal purani hai, ek admi tha Ramu naam ka (say), vo kisi karkhane mein watchman ki job karte the, uss samay unki age 25-30 k kareeb rahi hogi.
Unki zindagi mein sabkuch normal hi chal raha tha, tabhi ek din subah sabko khabar mili ki Ramu kaka (hum unhe kaka kahenge, humse bade h vo, ok😊😅), ha to khabar mili ki Ramu kaka ki tabiyat kharab ho gayi, achanak tabiyat itni kharab ho gayi ki 105° bukhar! Sabko chaukane wali baat thi ye!
Kyuki kal tak to Ramu kaka bilkul theek the, par jab se vo apni night duty karke laute the ghar par, unhe itna tez bukhar tha, aisa achanak kaise hua, ye sochkar unke gharwalo ki chinta or bhi badh rahi thi. Doctor ko bulaya gaya, Dr. Khud hairan tha ki aise kaise unhe itna tez bukhar aa gaya, Kaka thand se kaamp rahe the, ye baat sabko or bhi zyada hairan kar rahi thi, kyuki garmi ke mausam me razayi udha di unhe, fir bhi vo aise kaamp rahe the, maano thand mein unpr kisi ne barf ka paani daal diya ho!
Dr. ne dawai de to di, par saath hi ye bhi kaha, ki unhe zaroor kisi cheez se darr lag gaya hai, shayad yahi wajah hai ki, vo iss tarah se kaamp rahe the!
Kuch samay baad, kaka ka bukhar thoda kam hua, par vo ab bhi dare dare se lag rahe the, vo kuch ajeeb sa bartav kar rahe the!
Kabhi vo kete : "Darwaza band karo, vo aa jaegi"
Kabhi : mm mm mujhe chhod do, jane do, maaf karo...... To kabhi vo, zor zor se Hanuman chalisa ka paath kaapti huyi awaz mein karne lagte!
Ye sab, unke pariwar walo ko aur bhi dara raha tha, unke samajh nahi aa raha tha ki hua kya hai.
Kuch samay baad, kaka jaise hi thode normal huye, unse poocha gaya ki, aap itne dare huye kyu hai?
Kaka kuch samay shaant rahe, fir unhone kaha :
"Raat ke lagbhag, 12 k kareeb ka waqt ho raha tha jab mai apni shaam ki duty ki shift khatam karke wapas laut raha tha, laut te samay mai Sagon bageeche wali road se aane laga, kyuki usse ghar aane mein thoda kam waqt lagta hai, Mai apni cycle se gana gungunate huye aa raha tha, Sagon begeeche ke nazdeek hi pohoncha tha mai, ki tabhi mujhe kahi se Payal ki aawaz aane lagi, kuch door aage bada to mujhe ek lal dulhan ka joda pehene huye ek aurat dikhi, mai uska chehra to nahi dekh paya kyuki usne ghoonghat se apna sar dakh rakha tha. Maine socha ki aadhi raat se zyada ho gayi h ab to (tab samay kareeb 1-1:30 baje ka ho raha hoga), to fir ek akeli aurat or iss samay sadak par? Kahi use kisi madad ki zaroorat to nahi?
Mai poochne hi wala tha, ki tabhi usne madad k liye haath aage se ishara kiya or kaha ki "ky aap mujhe station tak chhod sakte hai bhaiya!"
Maine poocha konsa station? Usne kaha, railway station.
Mai thoda soch me pad gaya ki ab agar mai use waha chodne gaya to 2-3 aise hi baj jaenge, fir ek taraf mann mein ye chinta bhi huyi ki itni raat mein ise aise akela chodhna bhi sahi nahi hoga.
Maine haa mein sir hilaya!
Vo meri cycle pr peeche baith gayi, fir maine cycle chalana shuru kiya, kuch der baad maine usse poocha ki, aap itni raat gaye yaha akeli ky kar rahi hai, vo bhi dulhan ke jode mein, kahi ghar se to nahi bhaag rahi?
Usne kuch nahi kaha.
Jaise jaise mai cycle chala raha tha, aisa lag raha tha, mano cycle ka wazan badta jaa raha ho, pr maine utna dhyaan nahi diya.
Fir jab wazan sach mein bht badhne laga to mai peeche muda mera dhyan uss aurat ke pairo par gaya, jo ki zameen par luthda rahe the, pr mere hosh udd gaye jab maine dekha ki uske pair peeche ki taraf mude huye hai.
Tabhi ek hawa ka jhoka aaya or uska ghoonghat udd gaya, mere raungte khade ho gaye, uss aurat ka sir hi nahi tha or shareer bas gale tak hi tha!
Mai samajh gaya ki kuch gadbad hai, mai firse saamne ki ore muda aur maine mann hi mann hanumaan ji ko yaad kiya or kaha ki bhagwan aaj bachalo apne bhakt ko, maine Hanuman chalisa padhna shuru kiya aur or cycle ko ghar ki taraf badhane laga, 500 metre door aate aate mujhe ehsas hua ki cycle ka wazan ab pehle jaisa halka ho chuka hai, par meri peeche mudkar dekhne ki ab bhi himmat nahi huyi, maine aav dekha na daav or bas jaldi jaldi cycle ko ghar ki ore badhane laga or uske baad mujhe yaad nahi ki mai ghar kab pohoncha or kya hua uske baad!"

Ye baat ab Jalti huyi aag ki tarah saare ilake mein failne lagi, tabhi ek buzurg mahila, Ramu kaka ke ghar pohonchi aur haal chaal poochne ke baad unhone bataya ki, " kayi saal pehele ki baat hai, jab ek barat Sagon bageeche ki taraf se guzar rahi thi, un logo ko railway station jana tha kyuki raat ki gaadi thi unke shehar ki. Iss baat ki bhanak dakuyo ko lag gayi, uss waqt, vo ilaka kafi sunsaan hua karta tha, daaku barat ke aane ki firak mein baithe the or jaise hi baraat ayi, in logo ne loot ko anjaam diya or waha se jaane lage, tabhi, unki nazar dulhan ke haar par padi or jab usne dene se mana kiya, to unme se ek ne, uska haar keecha, jis wajah se dulhan bhi ghistane lagi or tabhi goliyo ki awaz se bail dar gaye or bail gadi dulhan ke gale par se aar paar ho gayi aur uska sir, gale se alag ho gaya! Fir kya tha uss din ke baad se, har amavas ko vo dulhan aksar logo se use railway station chhodne ko kehti hai, jo chhod deta hai, use vo kuch nahi karti or jo nahi chhodta uska bhi kuch nahi bigadti, bas vo logo ko apne hone ka ehsas dilati hai!"

Kya lagta hai apko, iss bare mein? Khair, ab uss jagah par aisa koi bhi mamla nahi aata, Garud puran ke anusar ye manyata hai ki atma bhi kewal tab tak hi bhatakti hai iss lok pr, jab tak ki uska agla janm lene ka ya fir akal mrityu me mare huye logo ka, iss dharti pr rehne ka waqt poora nahi ho jata!
Okay, to ab bataiye apko ye hadsa kaisa laga, sach ya fir afwah.
Task : an adjective for me😅
If you want to read more horror stories or real horror experiences do check out this link :
#aishkihorrorstory (do read "The SAILANI" series coming soon, this is my real encounter with something, beyond our world!)
Tc💖
aishpoetry1😊
And if you want to read more horror stories and quotes than do visit my your quote account "Aishwarya Chouhan"
Do let me know if you've read it full, did you like it or not!

© Jiya_^_wings🖋️✨