Aunty Bushra
@khushi #familylove.... ❤️
(scene 1st )
Aunty Bushra lucknow jaise bade shehar me ek achi society me rehti hai aur unke ek chota saa parivaar hai jisme unke pati ek beta aur ek beti hai.
Wese to kaafi naram subhaav ki hai Aunty Bushra par kabhi kabhi unhe thoda gussa aajata hai lekin fir jaldi shaant bhi hojata hai. unke pati Mr. Adab meeya khan jo ki ek ache se kasbe me kaam karte hai sarkari naukari hai aur subhaav se kaafi majakiya hai biwi aur bacho se bahut pyaar karte hai.
Aunty Bushra ki ek padosan bhi hai Mrs. Teena jinse Aunty Bushra thoda chidhti hai aur Aunty Bushra ki gossip karne wali ek dost bhi hai Mrs. Aradhna ji jinke saath Aunty Bushra bazaar jaati hai shaam ki chaaye ke sath baaten karti hai aur saari thakaan utarti hai chaliya kahani shuru karte hai...
Aunty Bushra kamre namaz padhkar uthti hai aur rasoi ki taraf jaati hai aur bacho awaj lagate hue kehti hai.
"Bacho agar tyaar hogye to neeche aajao bhai nashta karlo varna baad me mujhe hi kahoge ammi hme deri hogayi vo bhi apki wajah se ".
tabhi upar se awaaj aati hai
"ji ammi aaye bas do minute ye bhaijaan ki wajah se hmesha deri hojati hai hmesha aayine ke aage kitni der tak sajte savarte rehte hai ". ye baat Aunty Bushra ki beti noor ne kahi tabhi aunty Bushra ka beta Atif upar se aate hue kehte hai
"dekhiye ammi kaise jhut par jhut bol rahi hai mohatarama khud to jaise inhe samay lagta hi nahi ".
fir Aunty bushra kehti hai " lo pehle jhagda karlo tum dono aur deri karo par baad me dosh mera lagaya naa to dekh lena khair nahi tum dono ki ".
to dono ye baat sunkar khaamosh hokar chup chaap baith jaate hai nashta karne ke liye tabhi Mr. Adab khan bhi aa jate hai aur kehte "aur bhai kya horha hai itna shor kyu hai " are Kuch nahi abbu bas hassi thahaake ap bataiye aj subh walk par gaye the kya ap " ?
abbu- haa beta gya tha vo kal sharma ji ne kaha ki kal chalna to aj maine kaha chalaa jataa hu uthta to hu hi jaldi.
Aunty bushra - Nashta karo sab ab bilkil shanti se mujhe koi shor nahi chaiye ab aur saara nashta khtam ho tum dono ka bbaaten bahut aati hai.
Mr. Adab muskuraate hue kehte hai
"kya hua mohatarama subh subh aj chidchidi sii lag rahi hai aap Koi baat hui hai kya kisi ne kuch kaha kya apko"
Atif - abbu ap bhi kya baat kar rahe ammi ko bhi bhala preshan kar sakta hai koi ye to.. (kehte kehte rukjata hai)
aunty Bushra - ye to kya aage bhi bolo ruk kyu gaye tum khair hmari padi hi kisko hai sabhi ko lagta jhagda to ham hi karte galti to sirf hamari hi hoti hai.
Mr. Adab- are are aap preshan kyu horhi hai kisne kaha apko aaisa mohalle me koi baat hui kisi se to btao hame par aaise subh subh zayka kharab na karo.
Aunty Bushra - ha ha zayka to mai hi khrab karti hu hamesha jaane dijiye aap kariye nashta aap ko to kuch kehna hi nahi hai maine, bacho tum log bhi jaldi nashta karke college jaao.
(ye kehte hue Aunty bushra kitchen me jaati hai)
Atif - abbu aj to aap bach gaye nahi to subh subh maidan e jung hojati.
noor- chaliye bhaijaan hame der horhi hai apka bas chale to ap to ghar se hi naa nikle abhi aur baaten sunna chahte hai kya kuch..
Atif- bas chal rahen hai peeche hi pad jaati hai mere.
(tabhi mrs. Teena ki entry hoti hai vo thoda frank type ki jyadatar kam unko Mr. Adab se hi hota hai to isliye aunty bushra ko unka aana matlab ghar me Chipkali kaa aana lagta hai)
Mrs. Teena- good morning Mr. Adab good morning my sweet buddies..
Atif &noor - good morning Aunty.
Mr. Adab - Good morning Mrs Teena Kaisi hai ap aur subah subah kaise aana huaa apka?
Mrs. Teena -vo Actually baat ye thi ki mujhe market jaana tha eleven am aur apke office ka time bhi vahi hai to maine socha ap mujhe showroom tak drop kardenge.
Aunty Bushra ye baat sunleti hai aur kitchen se aate hue kehte hai
"are Mrs. Teena aj mai aur Aradhna shopping par jayenge to ap bhi chalna hamare saath baaten bhi Honayngei aur shopping bhi"
Mrs. Teena - agar ap jayngi to of course mujhe koi problem nahi hai par ap to evening me jayngi.
Atif - ji nahi aunty ammi to morning me bhi chale jate hai ap unke sath chle jaana aaram se waise bhi aj abbu ko hame drop karte hue office jaldi jana hai.
Mrs. Teena - ohk beta no problem.
Mr. Adab -chalo bacho der horahi hai car me baitho.
(dono bache chale jaate hai aur Mrs. Teena bhi apne ghar chali jaati hai. )
Mrs. Aradhna ji ke phone ki ring bajti hai Aunty Bushra ka call tha unhone phone uthaya unka
Aunty Bushra- hello Aradhna kaisi hai kaam hogya acha sun vo jo Mrs. Teena hai na vo bhi aj hamare saath shopping par jaygi to hame thoda jaldi jaana pdega varna vo to Adab ji ke saath jaane ke liye aayi thi.
(Aunty Bushra ek saans me saari baate bol gayi)
Mrs. Aradhna - Acha vo jayngi hamare sath hamare saath jaane ke liye vo maan gayi matlab vo to jyada akele hi jaati hai khair kaam to hogya hai mera mai tyaari hojaungi.
Aunty Bushra- haa milke baat karte hai tu tyaar hojana mai bhi hoti hi tyaar.
Mrs. Aradhna - ohk. mai aati hi thodi der me.
(Thodi der baad Mrs. Teena Aunty Bushra ke ghar aajati hai aur fir thodi der baad Mrs. Aradhna ji bhi aajati hai )
Aunty Bushra- chalo acha hua tu bhi aa gyi chaaye peekar ham nikalte haina.
Mrs. Teena - aj to bahut mazaa aayga naa shopping par apdono jo saath ho.
Mrs. Aradhna - ji bilkul ap to pehle akele hi chali jaati thi par ab se hamare saath chalaa karna bahut acha lagega apko.
next part will be come soon.. 🥀
© by khushi