Mera Kirdaar
Yeh kahani har shaqs ki hai jo wo bachpan se nibhata hai aur antt tak nibhata hi chala jaata hai. Farak bas rehta hai toh uske badalte rishton ka.
Aisi hi ek ladki hai. Bachpan ko dabaye chalti hai. Kabhi uljhano m sulajti si...hazaaron galtiyaan wo karti hai. Darti h, khoob darti h..koi cheen na le usse yeh bacpan wo iss baat se darti h. Til til badlte dekh k khud ko, wo khud ko kahi bhule na... iss khauf se wo roz ladhti hai. Yeh kaha fas gyi iss uljhi si duniya mai wo, yahi sawal wo khud se roz karti hai.
Marti hai...kisi p toh marti hai...aur shayad isiliye khudki parwah wo zara kam karti hai. Dukh h iss baat ka ki inn cheezoin m wo khudko apne hi andar kaid karti hai. Naah jaane kiski talash mai, apne hi khwab mai.. umeedoin ke jal bunti rehti hai.
Himmat se toh chalo wo aage badhti h. Rok se ni tok se nahi, puri wo mann ki karti h. Na samjh hi sahi...par harna pasand ni karti hai.
© saatviki