...

3 views

zimmedari 🙂😩
aaj akela mehsoos kar rha hu or bethe bethe soch rha hun aakhin kyu aati hai jwani , or agar aa bhi jaye to sab kuchh chheen kar kyu le jati hai jwani . aaj baithe baithe bachpan yaad aa rha hai,vo din jab sare bhai ek hote the, aaj bhi ham ek hi hai!! par.. pta nahi kyu! jwani ne vo bhayion vala pyar shayad chheen liya hai. aaj yaad aa rhe hai vo din jab ham bhai Aakash,Vikas,Rohit,Mohit,Rajan or Shubham yani main ham sab or mere mama papa or mosa ji ❤️ ham sab cricket khelne pass vali park me jaya karte the tab ham sab ek the or kisi ne nahi socha tha ki kuchh ese din bhi ayenge, jab sare bhai motiyon ki trah bikhar jayenge.... yaaad atein hai vo din jab kisi mein koi bair nahi tha sab apne hi the koi gair nahi tha.. ab zimmedari ne bhi esi taang adai hai... bhayion mein bas doori hi badhai hai.. subah utho to sidhe job or job se sidhe ghar ko jaatein hain, chaah kar bhi ham kabhi mil nahi patein hain. sara kusoor is zimmedari hai jiski vjeh se bhayion kaa saath chhoot gya ek ek kar sabse rishta hi toot gya


to be continued 🙂❤️