...

23 views

Masoom guriya
Aou aaj ek kahani sunao ek masoom nadan guriya ki,
10 March 2000 ko peda hovi thi vo buhat khush thai saab uske a ne per uski asaish ka buhat khayal rakha sabne,
Dekhte hi dekhte vo bari ho gai aur buhat tanha ho gai jo log uski pedaish per khush thai vo sab uski moujudgi sai khafa ho gai tanha chor diya usse, uske aass pass jo muhabbat thi jo sahare the sab chut gai,buhat darti thi vo kai kahi sab usse dur na chale jai kahi uski muhabbat mai shirkaat na ho jai,sab usse bhul na jai,issi daar mai jeeti rahi,aur khauf mai buhat galatiya kar bethi,tanha ho gai vo....
Phir uski zindagi ka naya dour shuro hova bachpan mai hi tanhai kiya hoti hai vo jaan gai thi muhabbat ki piyasi thi,kisi ka sahara chahti thi,magar kissi ne usse sahara na diya sab ne bas uska istemaal kiya,na dost rahe na khandaan koi raqeeb na raha,aur yeuhi vo javan ho gai,kisi sai ek tarfa muhabbat ho gai buhat chahti hai vo usse aaj bhi zamana chahe kuch bhi kahe,uss ek tarfa muhabbat ne barbaad kar diya usse muhabbat ki chah ne buhat galatiya karva di usse,zehni mareez ho gai dou muhiya shakhsiyat ban gai vo jiska ehsaas na hova usse,jab usse kissi sai muhabbat na mili to usne apni hi muhabbat ki duniyah bana li uss shehzade kai sath hakikat samjh ne lag gai vo uss khayali duniyah ko,kasur uska bhi na tha uski zindagi kai adhurepan ne usse essa bana diya,uski khayali duniyah ne usse buhat bari azmaish mai la khara kar diya vo usme dubti ja rahi thi,phir akhir ko kissi ne uska yeh sapna tor diya aur jab sapna toota to sabko yeh laga kai vo masoom guriya jhooti hai vo apna difa karne lagi kissi ne usper yakeen hi na kiya sivai ek shaks kai uss farishte ko lagta tha begunah hai yeh,usse baat karne laga uske dil ka haal janne laga usse andaza ho gaia tooti hovi hai yeh muhabbat ki talash mai hai,farishte ko sab samjh a gai bas ek galati ho gai usse farishte ne uske sath muhabbat ka jhoota kheel racha hakikat janne kai liye lekin vo farishta yeh na jaan saka kai masoom guriya ko shehzade sai muhabbat hai,kyu kai gurya ne uss vaqiye kai baad kisi sai zikr na kiya apni muhabbat ka bas dil mai dabai rakhi aur esse badal gai jese kai kabhi usne shehzade sai muhabbat hi na ki ho....,
Vaqat guzarta raha 6 mahine beet gai guriya khush thi farishte kai sath kai akhir vo raat a gai jis din guzriya ko farishte ki jhooti muhabbat ka andaza hova 15 March 2016 ki vo raat kabhi na bhuli guriya aaj 4 saal guzar gai uss baat ko abhi bhi saval hai kai kyu uske sath essa hova vo aaj bhi uss farishte sai apna har ghum baatti hai dono ache dost hai jab bhi buhat takleef mai hoti hai to farishte sai baat karti hai...,
Yeh to bas kahani ka ek sira tha sab kuch yahi sai shuro hova us ek dhoke ne guriya ko badal diya,vo uss farishte ko bhulne kai liye yaha vaha apna dilbehlane lagi,phir ek arse kai baad usse koi essa mila jiske sathe usne zindagi bitaane ka faisla kiya buhat khush thi buhat bharosa kiya 4 saal khush thai vo dono lekin phir uski zindagi mai tufaan aya phir bewafai hovi ek baar phir kisi aur ko chuna gaia aur usse chora gaia,is dafa vo toot gai lekin koi aya uski zindagi mai khushi lai kar usse laga bas ab sab theek ho jaiga uska mangetar tha vo lekin usne buhat ziyatti ki uska istemaal karke 14 din mai chor diya usse,tukre tukre ho gai gurya khud ko khatam karne chaali gai lekin maar na saki uss gham kai sath jeena majboori ban gai,har raat roti rahi aur din mai muskurati rahi,yeuhi din guzarte rahe uske ghao bhare nahi takleef dai hote gai,lekin usne iss gham kai sath jeena seekh liya yeh soch kar kai koi dava zaroor hogi...,
Aur yehi hova 6 mahine baad uss farishte ko guriya ki yaad a gai vo dubara lout aya uski zindagi mai lekin vo isliye nahi aya tha kai usse muhabbat thi vo khairiyaat maloom karne aya tha,guriya ka haal janne kai baad buhat azurda hova dono ne buhat batai ki guriya ne apna dil khol kai rakh diya uske samne buhat sucoon hova usse samjhne lagi kai zindagi usse aur farishte ko ek aur mouka dai rahi hai sath rehne ka lekin esa kuch na tha jald hi usse iss baat ka ehsaas ho gaia usne samjh liya kai tanhai muqadar hai uska umeed chorne lagi lekin farishte ne usse essa karne nahi diya uske sath raha tab tak jab tak vo mazboot na hogai khud ko sambhaal na liya lekin farishta bekhabar tha kai guriya ne khud ko sirf farishte kai liye sambhaala taake usse uski fikar na karni pare,farishta bhi chala gaia ek baar phir vo akeli ho gai lekin is dafa usne kisi ko talasha nahi apne liye bas khud ko talash ne lag gai khud ko badalne lag gai jesa farishte ne bola vesi banne lag gai khush rehne lag gai,buhat badal gai...,
Lekin afsoos bekhabar thi kai maazi ki galati intiqaam ka irada rakhti hai ek essa intiqaam jisme guriya ki koi galati na thi,uska mangetar dubara uski zindagi mai tufaan lai aya bekhair kar rakh diya aur essa bekhaira hai kai ab vo sambhalne sai darti hai buhat arse baad phir sai marne ka khayal jaag utha hai ghabra gai hai vo samna nai kar sakti iss tufaan ka kamzor par gai hai ab usse koi sambhaalne vala chahiye jo wafa kare uske sath ab thaak gai hai,vo in azmaisho mai kho gai hai,jeena bhul gai hai yea yeu kahu to baja kai vo kabhi khul kai jee hi na saki,bas ab jeena chahti hai vo khush rehna chahti hai,magar maloom nahi ab kiya hoga....,
Guriya ki kahani yaha khatam nahi hoti uski kahani ka akhiri panna abhi baaki hai uska mustaqbil. Buhat fikarmand hai,khaufzada hai,bekhiri hovi hai..., Kiya koi sametne vala ayega usse? Kiya khushi ayegi kabhi uski zindagi mai yea phir yeuhi besahara guzar jayegi zindagi uski!?
In sawalo ka javab to aage zindagi mai hi milega bas yeh dua hai kai guriya umeed na chor dai,kyu kai jab tak umeed hai tab tak uski sanse hai.

kahani ka ikhlaaqi sabaq: Kabhi kabhi aulaad galati karti hai ek dafa nahi bar bar karti hai lekin iska hargiz yeh matlab nahi kai usse tanha kar diya jai kyu kai tanhai barbaadi ki taraf pehla qadam hai...!!!