...

1 views

koi hai...koi hai...
"Lag ja gale ki fir ye haseen raat ho na ho" Nikunj ki songs playlist ka ye song loop per chalta tha. Aur is song ko sunte gungunate naa jane Nikunj ne kitni longg drives complete ki thi. Is baar office ke kisi bahut jaruri kaam se Nikunj mumbai se pune ja raha tha. Mumbai pune highway per raat ke 1 bje Nikunj akela hi drive kar raha tha door door tak koi gaadi insan kuch bhi ni the. Bich me diversion ke karan Nikunj ko ek two way lane per jana pada tha, magar uski gaadi ki speed 140 se 60 per aa gayi thi. Mausam achanak se bigad gaya tha or tez baarish shuru ho gayi thi. Achanak Nikunj ne bahut zor se break lagaya ir gaadi lagbhag unbalance hote hue ruk gayi..
Nikunj ko ek second pahle hi kisi ladki ke sadak per achanak samne aa jane ka ehsas hua tha kintu waha koi tha nahi. Nikunj ne fir se gaadi shuru karne ka prayas kiya kintu gaadi start hi ni hui. Bahut der tak prayaas karne ke baad Nikunj ne charon taraf dekha to aaspaas kuch bhi ni tha. Nikunj ne apna mob dekha to battery only 3% baki thi. Ab uske paas ek hi rasta tha ki wo kahi jakar phone charge kare or kisi mechanick ko bulaye. Door kahi ek haveli numa ghar se halki halki roshni aa rahi thi. Nikunj us or chal diya. Haveli me light ni thi but candle ki roshni aa rahi thi. Nikunj ne jaise hi darwaza kholna chaha darwaza khud b khud khul gaya. Halaki Nikunj bhootpret me vishwas ni karta tha but us safed saari wali ladki ka ehsas or is bhootiya haweli ne use kuch dara jarur diya tha. Nikunj ne awaz lagakar pucha.."Koi Hai'? "Koi Hai"..?
Jb koi reply ni aaya to Nikunj mudkar jane lga, tabhi piche se ek ladki ki awaz aayi, "Aa gaye aap?" Nikunj ne palatkar dekha, to ek ladki safed saree pahne candle liye khadi thi. Nikunj chaunk gya kyuki ye wahi thi jiska ehsas use hua tha. Nikunj ne pucha, "Ap janti hain mujhe?" Us ladki ne kaha, main yha se gujarne wale har aadmi ko janti hu. Ye kahkar wo ladki seedhian chadhte hue uper ke room per chali gayi. Nikunj na jane kisi sammohan ke prabhav me uske piche piche chal pada. Room ke ander ghuste hi darwaza zor se band ho gaya. Jisse Nikunj ka tilism toota or usne dekha, usse kuch dur wahi ladki kisi chudail ka roop le chuki thi, uske baal bikhre hue the, uski safed saari khun se latpath thi, uska pura chehra kuchla hua tha. Nikunj buri tarah darr gaya tha usne badi mushkil se pucha kon ho tum? Main to tumhe janta bhi nahi, kyu mujhe yha layi ho? Wo ladki chalte hue Nikunj ke paas pahunchi to uske pairon ki disha ulti thi, usne Nikunj ki ankhon me jhankte hue kaha, "main bhi to use ni janti thi, fir usne mere sath aisa kyu kiya? Kya ek bees saal ki ladki ke sath 3 log milkar balatkar karen or use adhamari haalat me is haveli me marne ke liye chhod jayen, ye thik hai?
Un vahashiyon ne mere sharir ke kisi ang ko nahi chhoda aur mujge is haalat me pahuncha diya.
Ab main yaha se gujarne wale har aadmi ka yahi haal karti hu, taaki har ek aadmi samjh jaye ki female mahaz ek sharir ni hota, uski bhi aatma hoti hai.
Nikunj badhawasi me room ke darwaze ko khol neeche utra, paseene se lathpath or uski Apple watch me dhadkan 250 dikha rahi thi. Nikunj ka sans lena mushkil ho gaya tha or kuch hi kshno me Nikunj nidhal hokar zameen per gir pada tha or uske heart ne kasm karna band kar diya tha.
Subah Nikunj ki suv ke pass se jb kuch raahgir guzre to unhone dekha ki ek aadmi driving seat per staring per sir tikaye pada hua hai. Unhone police ko ph kiya or jab tak use hospital pahunchaya gya, dr ne kaha heart fail ke karan inki death ho chuki hai.
Us safed saree wali ladki ki kahani ek bar fir us haweli me kaid hokar rah gayi thi or wo haweli fir kisi tufani raat ke intezar me akeli khadi hui thi.

© Veerendra Jain

#WritcoQuote #writco #writcoapp #writer #Writing #writersofinstagram #story #WriteIndia @Writco