...

14 views

KAHANI...
Kahani puchte hain log meri zindagi ki

Kaise sunaoun dastaan woh bebasi ki

Yeh sach hai ke aaj bhi zinda hoon main

Par koi wajah nahi hai baaki kisi khushi ki

Kabhi hum bhi khul kar muskuraya karte the

Par keemat chukayi hai humne uss hasi ki

Apno se khaye zakhm ab bhi kahin taaza hai

Kisine bhi chot dene mein kahan koi kami ki

Meri hi aasteen mein palte the saanp dost bankar

Pyar se zeher dekar sabhi ne meri rukhsati ki

Yaqeen ke saath main bhi tuta hoon har lamha

Ro uthti hai rooh jab yaad aati hai bewaafai sabhi ki

Raaton ko aksar dard chilla uthte hain mere

Bayaan kaise karun aankhon ki uss nami ki

Maaf kar chuka hoon apne har ek gunahgaar ko

Bas aisa hi hoon main meri aadat nahi berukhi ki

Ab kabhi na puchna wajah iss khamoshi ki

Bas yehi thi kahani meri iss zindagi ki


#shayarindia #Poetry #poem #WritcoQuote #writers #Life #original #writcoapp #Love&love #pain
© shayarindia