...

53 views

likhu m kya???
likhu m kya apne is kalam ki syahi se,
jaha bolne ka mol na rha,
jaha har mol ka tol ho rha,
jaha muskurate waqt bhi sochna padata h,
aur apne hi aasuobko duniya se chipana padata h..

likhu m kya apne is kalam ki syahi se,
jaha jazbat ka dhandha ho rha hai,
jaha ahsaas sareaam bik rha hai,
jaha khush ho to pura zamanaa Jan jata hai,
aur dukh ho to khud se nazare churate h..

likhu m kya apne is kalam ki syahi se,
jaha siyasat k liye apne - apne se lad rahe hai,
jaha paise p koi kisi ka nhi rha,
jaha logo ka iman bik jata h,
jaha spne swarth aur lalach ko haq ka naam diya jata h....

likhu m kya apne is kalam ki syahi se,
jaha rishto ka koi aarth nhi,
jaha bdo k liye aadar air choto k liye sneh nhi,
jaha dosti bhi matlab se hoti h,
jaha pavitra bandhan ek kaga k tukde par khtm ho jata h....

likhu m kya apne is kalam ki syahi se,
jaha har roz insaniyat katghare m khada hota h,
jaha sb kuch kho rha insan ,sb kuch pane k liye,
jaha paisa aur takat hi sresth h
jaha zindgi maut se jyada sasti ho gyi hai..

likhu m kya apne is kalam ki syahi se...
likhu m kya apne is kalam ki syahi se...
likhu m kya apne is kalam ki syahi se..