Sabr kar Bandeya
Chalane ko hogi, Raahein nayi,
Rahon me honge rahgeer kae,
Kahne ko hogi baatein kae,
Muskurane ko hogi wajah kae.
Aise na, umeede toda karte,
Aise na, raahein chhoda karte.
Aise na mushkilon se dara karte.
Aise na manzilon se muda karte.
Sabr kar Bandeya,
Waqt Tera aayega.
Hogi jeet teri bhi,
tera naam chha jayega.
Kaam tera jaari rakh,
Fal tujhe mil jayega.
Udne ko hoga aasman bhi,
Jeene ko honge arman bhi,
Sach honge tere khwab bhi,
Puri hogi teri muraad bhi.
Aise na, umeede toda karte,
Aise na, raahein chhoda karte.
Aise na mushkilon se dara karte.
Aise na manzilon se muda karte.
Haar hi toh,
Jeet ka pahla padav hai.
Hogi jeet teri bhi
bas mahnat aur sabr ki darkar hai.
Sabr kar Bandeya...
© mukeshyasdiary.blogspot.com
Rahon me honge rahgeer kae,
Kahne ko hogi baatein kae,
Muskurane ko hogi wajah kae.
Aise na, umeede toda karte,
Aise na, raahein chhoda karte.
Aise na mushkilon se dara karte.
Aise na manzilon se muda karte.
Sabr kar Bandeya,
Waqt Tera aayega.
Hogi jeet teri bhi,
tera naam chha jayega.
Kaam tera jaari rakh,
Fal tujhe mil jayega.
Udne ko hoga aasman bhi,
Jeene ko honge arman bhi,
Sach honge tere khwab bhi,
Puri hogi teri muraad bhi.
Aise na, umeede toda karte,
Aise na, raahein chhoda karte.
Aise na mushkilon se dara karte.
Aise na manzilon se muda karte.
Haar hi toh,
Jeet ka pahla padav hai.
Hogi jeet teri bhi
bas mahnat aur sabr ki darkar hai.
Sabr kar Bandeya...
© mukeshyasdiary.blogspot.com