...

5 views

Ek Sahi Faisla
Aaj yuhi raah chalte ek jaana phchana awaaz suna
Ek dhundhla SA chehra yaadon me aaya
Kuch baaten yaadon se nikal in ankho me aae
Or in ankho m Khushi k ansu Bhar aae...

Chehra kuch badla hua par awaaz whi purana tha
sun kr Mano waqt khi tham SA gya Tha
Kadam khi ruk se gye the
Dimaag sunn SA ho gya Tha

Ye saare badlav unke aane se hue
Kuch purane bhule hue rishte jb mile
Saalo se baat Na hui
Par ehsaas me nai tha ye baat
Awaaz suni jb uski to khyal me tha bas uska sath

Na jaane kitne sawaal soch kr rakhe the
Na jaane kitna gussa nikalna tha
Par ye sawaal khi bhul se gye the
Gussa jaise yaad hi nai tha
Barso se Na Milne ka koi reason bhi nai tha
Fir bhi vo ehsaas is dil me tha

Yu lga maano kl ka hi baat tha
Uske hath me Mera hath tha
Mausam ne ek karvat jarur le li thi
Lekin fir bhi hmara sath tha

Us hath me hath aaj bhi tha
Kisi ka sath aaj bhi tha
Hm ye dekh muskura kr chal die
Ki zindagi me khi to shi faisle kie...

Ab ek alg sa sukoon tha Mann me
Khush thi ki vo nai is jeevan me
Thoda ruk ruk kr chal rhi thi
Khud se sawaal kr rhi thi
Jawaab mil gya or raahe bhi
Zindagi mil gyi sath purane sapne bhi.....














© mylearningdiaries