...

10 views

Bhai - behen ka naata

1. Hasi thitholi karte jisme ,
Per ek dusre per gussa kabhi nahi aata ,
Har pal ko sapno ki tarah jeete jisme ,
Wo hi bhai - behen ka naata hai .

2. Bhai , behen ko sataate hai or pareshaan karte hai ,
Behen , bhai ko chidhati hai ,
Agar bhai ne choti jo kheenchi behen ki ,
To tabhi rooth jaati hai .

3. Behen ko rota dekhkar mummy jo jajj bankar beech me aati hai ,
To koi karyawahi nahi chalti ,
Dande se bhai ki pitai karke seedha fainsla sunaati hai .

4. Bhai - behen ke masti waale din bade hone per yaad aate hai ,
Jab ek dusro se door rehte hai ,
Or har pal yaad karte hai ,
Per mil nahi paate hai .

5. Yaad aate hai wo bachhpan ke din ,
Bhai - behen ka ladna , jhagadna ,
Bhai ka setaani karna or behen ka roothna , chillana ,
Or bhai per chale har prakar ke dando ka tootna yaad aata hai .

6. Chaahe jitna bhi ek duare se gussa ho ,
Lekin wo pal me khatam ho jaata hai ,
Jab ladkiyo ka paisa kamane waala din ,
Raksha bandhan aata hai .

7. Pal me roothna khatam ho jaata ,
Pal me ladaiya kahatam ho jaati hai ,
Bas wo pooraani yaad reh jaati hai ,
Jab behen apne sasuraal jaati hai .