...

2 views

Ishq ka gujara
wo chehra mujhe aksar dikhaai deta hai
main dekhta hun jahan bhi bus wahi dikhai deta hai
khamoshiyan uski aawaz main bolti hai
shore uski aahat sa sunai deta hai
shahar bhar ghum kar aaj bhi, uski gali ka pata nahin milta
wo kabhi yun hi milta tha, aaj talashne pe bhi nahin milta
ek pyala chai aur uski bataain
shaamon ka ab koi aur sahara nahin milta
Din gujar jaate hai jad o jahad main lekin
raaton kaa gujara nahi hota
Ishq ka kyaa wo to hi jata hai, Ishq ka kya hai wo to ho hi jata hai
jisse hota hai bus wo shaks humara nahi hota.