...

5 views

Pata Nahi Kiyo
Pata nahi kiyo mere har khushi ke pal mein,
Yeh dil tumhe hi doondhta hai,
Yeh jaan kar bhi ki tum nahi ho.

Pata nahi kiyo jab koi muje khush kare,
Yeh dil hamesha tumhe hi yaad karta hai.

Pata nahi kiyo jab koi meri parvaah kare,
Yeh mann lagataar tumhari hi yaad dilata hain.

Pata nahi kiyo yeh pata hokar ki tum abb mere saath nahi,
Yeh haath muje majboor karta tumhare baare mein likhne ke liye.

Pata nahi kiyo main tumhe badal nahi paa rahi,
Jaise tumne hume badal diya.

Pata nahi kiyo main sacchai ko sveekaar nahi kar paa rahi,
Ki abb tum mere nahi rahe.

Pata nahi kiyo main khudko rokh nahi paati,
Tumhari aor kadam rakhne se.

Pata nahi kiyo main yeh duniyaa dhek nahi paati tumhare bina.
Pata nahi kiyo